Qasida

12 Rabi Ul Awwal ta 17 Rabi Al Awwal

Sardar-e-malak ke bhi hain sardaar mohammad (s)kul ambiya k sayyad-o-mukhtaar mohammad (s)Paigham-e-ilaahi k wafadaar mohammad (s)Aur shah-e-karbala k azaadaar mohammad (s)

.....Inki barabari ki jo koshish bhi karega.....Dozaq milega usko wo be maut maregaHasil hai inko aala sharaf sath me nisbatKhaliq ne banaya hai sarasar inhey rahmat

Hasil kisi ko aisa martabaa naa ye azmatJitney bhi Ambiya hai unhey insey hai ulfat........Allaah inko aour ye Allaah ko pasand........Firdous inkey dushmano k wastey hai band

Meraj usney dekey inhey wo sharaf diyaJissey na musharraf tha koi aur ambiyaKul ambiya se inkey waastey halaf liyahar rijs-o-najasat ko insey bartaraf kiya

.....Mahboob is qadar hai k habeeb(s) pukara.....Har Ashiqu-e-Nabi ka phir naseeb sawaraHar ambiya k dil ka hain eemaan mustafa (s)Shan-e-uloohiyat ki bhi pahchaan mustafa (s)

Kul kaayenaat aap par qurbaan mustafa (s)Haider(a) ki shaan Fatema (s) ki jaan mustafa (s).Sajdey me sar Rasool(s) ka aur pusht par Husain(a)..Ek Aamena ke laal hain Ek Fatema (s) k chain

Daaman me gunahoan ko samete huwey hain hamDil mera pashemaan hai aur aankh bhi hai namMaqbooliyat ka meri duwa me nahi hai damUmmeed shifaaat ki hai baa ulfat-o- karam

.....Ashaar merey meri aqeedat ke phool hain....Haider Nabi ke ishq me gham bhi qubool hai

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app