Abbas Teri behno ko bazaar me laaya jaata hai
Haye Shaam.....6Haye ABBAS (ASWS).....6
ABBAS (ASWS) Teri Behno Ko Bazar Mein Laya Jata Hai.....2Suraj Ne Khule SAr Jisko Ghar Mein Bhi Kabhi Na DekhaABBAS (ASWS) Wahi Shahzadi Balwe Mein Gai WawailaZAINAB (SA) Ki Yahan Aamad Par Darbar SAjaya Jaata Hai
Kis Shan Se Teri Behna Mehmil Me Chali Thi Ghar SeAur Aaj SAfar Par Nikli To Rah Mein Patthar BarseBe Parda NABI ZADI (SA) Ko Galion Mein Phiraya Jaata Hai
Kya Tujh Se Kahun Aai GAZI (ASWS) Dekhe Hai Yahan Gam KaiseRahon Me SAKINA (SA) Teri Pani Ke Liye Gar RoyeBacchi Ko Dikha Kar Pani Reti Pe Bahaya Jaata Hai
Be Dard Hai Be Gairat Hai Yeh Shaam Ke Rehne WaleAankhon Pe Pade Hai Parde Aur Unki Zuban Par TaleYeh Chup Hai Nabi Zadi (SA) Ko Balwe Mein Ghumaya Jaata Hai
Ek Lamha Nahai Hai AaSA Eza Na Koi PohuchaieThak Kar Woh Kahin Par Baithe, SAJJAD (ASWS) Ko Neend Aa JaaieHaye Haye Zanjeer Hila Kar Kaidi Ko Jagaya Jata Hai
Dohraya Gaya Mazi Ko, Hai Zulm Wahi Aur Hum BhiUmmat Bhi Wohi Chehre Bhi, Darbar Wohi Aur Hum BhiKal AMMA (SA) Jahan Aaie Thi, Ab Mujhko Bulaya Jata Hai
Rahon Mein Kisi Manzil Par, Deta Jo Humein Koi ChadarLe Jaate Hai Phir Woh Chadar, Hakim Ke Sipahi AakarEk Din Mein Teri ZAINAB (SA) Ko Kai Bar Rulaya Jata Hai
BarSAt Kabhi Durron Ki, Hoti Hai Kahin SAngh BariAai Bhai Bata Kyun Na Ho, Jeene Se Mujhe BezariSAadat Ko In Rahon Mein, Har Gam SAtaya Jata Hai
Yeh Farsh E Aza Yeh Matam ZAINAB (SA) Ka Karz Hai Hum ParDunya Se Kahe Phir Kyun Na Farhan Aur Mazhar Ro KarJo Aal E Nabi (SAww) Par Guzri Nauhon Me Sunaya Jata Hai