Kehti Thi Ye ZAINAB (SA)....5 Yun Maa Ka Maan Nibhana....2Ay AUNO-MOHAMMAD(AS) Ay AUNO-MOHAMMAD (AS).....
SHABBIR (AS) Ka Tum Sadqa Ho Ab Khaime May BetaTum Laut Kar Na Aana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)
Hai Maa Ko Yaqeen Tum Maa Ki Baat RakhogeYe Yaad Rahe Khaimo May Hai Pyase BacheDarya Pe Agar Jaana Ho Seh Roz Ke PyasoTum Pyas Na Bujhana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)Ay AUNO....
Har Haal May Tum Par Laazim Hai Shukr Khuda KaAy Shehzado Hai Sabr Tumhara VirsaFarzand Ho Tum ZAINAB (SA) Ke Shikwa Nahi KarnaJab Zakhm Koi Khana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)Ay AUNO....
Kab Hum Pe Sitam Karne Ke Liye Aaye HaiYeh Badro Ohad Ke Badle Ke Liye Aaye HaiLaazim Hai Razaz Se Pehle Maidan May Tum ParMadhe ALI (AS) Sunana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)Ay AUNO....
Jab Saans Tumhari Bachon Ho Ukharne WaliUs Waqt Sirhane Aayengi Madar MeriDil Ki Ye Mere Khwahish Hai Us Dam Meri Maa SeZakhmon Ko Tum Chupana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)Ay AUNO....
Qatil Pe Karam Nana Ki Tarha Kar DenaYun Laaj Mere Bhai Ke Naam Ki RakhnaJo Waasta De Bhai Ka Maidan Pe Us ParTum Taygh Na Chalana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)Ay AUNO....
Jab Laashe Uthaakar Khime May Laaye SarwarZAINAB (SA) Ye Boli Askhon Ko Apne ChupakarMai Bhi Na Tumhe Ro-ungi Aur Mere Liye BhiAansu Na Tum Bahana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)Ay AUNO....
Taazeem Ki Khaatir Kyun Ut-thay Nahi Ab BetaDekho To Sirhane Aaye Hai Mere BhaiyaJaago Mere Shehzado Kya Bhoolgaye HoQadmo Pe Sar Jhukana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)Ay AUNO....
Shabash Mere Bachon Hoo Mai Tumse RaaziYeh Kehke Takallum Khamosh Huvi ShahzadiNaizo Pe Safar Karke Hamraah HamaareTumko Hai Shaam Jaana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)Ay AUNO....