Fasl e gul Hai ab jahaa mey aye shaheedo tum kahaa hoTaazgii Hai gulsitaa mey aye shaheedo tum kahaa ho
Sabz o quraa'n dasht e dunya Hai tumhaarey ghum mey giryaaBulbuley shaaq e gulistaa roro kehtey Hai ye har aa'n
Merey phoolo merey guncho aye shaheedo tum kahaa ho
Chalkey raah e haqq pey tum ney kaam aisa kar dikhaayaShohdaa e karbala se apney waado ko nibhaaya
Aye jawaano ahd saazo aye shaheedo tum kahaa ho
Pursa daar e karbala they raunaq e farsh e aza theyAashiq e qaak e shifaa they saajid e rabb e ulaa they
Shaahedee par roney waalo aye shaheedo tum kahaa ho
Tum julooso mey aza ke chalney waaley aagey aageySogwaaro ko bachaakar sehgaye qudd bum dhamaakey
Raah e haqq ke jaanisaaro aye shaheedo tum kahaa ho
Tum muazzim tum musalli qalb e momin ki tasalliTum dua e sayyada ki har zamaaney mey tajalli
Ismato ke paasdaaro aye shaheedo tum kahaa ho
Bin tumhaarey kya bahaarey kaisey nagmey kya taraaneyChashm namm Hai labb pey aahey hum milengey kab na jaaney
Paas apney ab bulaalo aye shaheedo tum jahaa ho