Abad Wallah Ya Zehra (s.a.) Manind Sa Hussaina (a.s.).....3As Salam....3 Aai Zair E Hussain Assalam
Labbaik Ya Hussain (A.s)....4
Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....2
Allah (S.w.t.) ki Bahisht Ke Haqdar AssalamAai Turbate Hussain (A.s.) Ke Zawwar Assalam
Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4
Tujhpar Salam Shaam O Sahar Zair E Hussain (A.s.)Zair Hai Tere Shams O Kamar Zair E Hussain (A.s.)Khud Keh Rahe Hai Ahle Khabar Zair E Hussain (A.s.)Tu Tha Gunagar Magar Zair E Hussain (A.s.)Tera Thikana Barsare Aflak Ho GayaZam Zam Sada e Deta Hai Tu Paak Ho Gaya
Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4
Haj Ka Sawab Lekar Utha Tera Har KadamRakha Kadam Zameen Pe To Umrah Hua RakamAawaz Aa Rahi Hai Yeh Nabion Ki Dam Ba DamTu Zair E Hussain (A.s.) Tere Zaireen Hai HumDeedar Kar Ke Rauzae Sarwar Ka Farsh ParTu Ne Khuda Ko Dekhliya Jaake Arsh Par
Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4
Khola Hai Rab Ne Bab E Fazilat Tere LiyeKudsi bhi Kar Rahe Hai Ibadat Tere LiyeKausar Hai Tere Waaste Jannat Tere LiyeArfe Ke Roz Hai Yeh Saadat Tere LiyeMumtaz Kar Diya Tere Masjood Ne TujheHaji se Pehle Deha Hai Mabood Ne Tujhe
Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4
Tujhko Dua E Binte Payambar Naaseeb HaiKismat Ko Naaz Hai Woh Mukaddar Naseeb HaiTera Malaika Se Bhi Badh Kar Naseeb HaiKya Martaba Tujhe Share Mhehshar Naseeb HaiJub Naseeran e Shah Ko Khalik BulaiengaMhehshar Me Tu Bhi Sath Bahattar Ke Jaienga
Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4
Haj Ke Bagair Haj Ka Fariza Ada KiyaMausam Ki Koi Fikr Na Khaufe Kaza KiyaChalo Se Apne Marhame Zakhme Ana KiyaTune Barahna Pa Safar E Karbala KiyaKatre Tere Pasine Ke Kya Kaam Aaie HaiAllah (S.w.t.) Ne Unhi Se Farishte Banaie Hai
Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4
Kis tarha Se Bayan Ho Manzar Woh Ish KePaidal Jo Karbala Ko Nikalte Hai KaafleKoi Najaf Se Aur Koi Basrah Ki Rah SeHathon Me Ya Hussain (A.s.) Ke Parcham Liye HueZair Jo Karbala Ki Taraf Daude Jaate HaiAbbas (A.s.) Chal Ke Khud Unhe Lene Ko Aate Hai
Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4
Hoti Hai Ek Katar E Mawkib Wahan SajiKhidmat Me Zaieereen Ki Rehta Hai Har KoiPani Liye Koi To Koi Ban Ke MalishiUn Khadimon Ke Ishk Pe Kehta Hai Dil YahiKarte Hai Saaf Aa Ke Pasina Jabeen SeMil Ne Hussain (A.s.) Aate Hai Jub Khadmeen Se
Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4
Dulhan Ki Tarha Rah Sajate Hai AashikeenKhaime Mohabbaton Ke Lagate Hai AashikeenJo Saal Bhar Me Risk Kamate Hai AashikeenDaulat Woh Zairon Pe Lutate Hai AashikeenKehte Hai Phir Bhi Kalb Hamare Na Bhar SakeHum Zair E Hussain (A.s.) Ki Khidmat Na Kar Sake
Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4
Jo Raste Me Karbobal Ke Guzaar GaiKaise Kahu Ke Mir Takallum Woh Mar GaiePardes Me The Laut Ke Woh Apne Ghar GaieAaie Ajal Bataun Woh Zair Kidhar GaieDare Fana Se Mulk E Baka Legaie Hussain (A.s.)Khud Aake Unko Karbobala Le Gaie Hussain (A.s.)
Aai Zair E Hussain (A.s) Assalam.....4
Abad Wallah Ya Zehra (s.a.) Manind Sa Hussaina (A.s.).....2
As Salam .....3