Hilne Laga Arsh-e-BarinRone Lagi KarbalaLakhon Qatilon Mein ThaMagar Ye Sach Hai Ba KhudaKoi Na Hussain AurKhuda Ke Darmayan ThaSajde Mein Hussain TheLabon Pe Thi Yehi Sada
Le Ae Mere Allah Ab Tere HawaleMalik Tera Banda Ab Tere HawaleArre Zindagi Se Sair Ho ChukaKar Raha Hon Aakhri Sajda
Subhana Rabbi Al Aala
Asar Ki Sunta Hon Sada-e-AzanAakhri Dena Hai Mujhe ImtehanCharon Taraf Teeron, Sina, BarchhiyanHain Ye Mere Qatal Ki Tyariyan
Jante Hain Kis Ka Nawasa Hon MainJante Hain Kis Liye Aaya Hon MainTera Hi Paigham Sunata HonPhir Bhi Sitam Ka Hi Nishana Hon Main
Na Mera Ghar Bar Na Lashkar RahaArre Akbar O Abbas Ka Gham Kha GyaItne Sitam Dil Pe Main Sehta RahaShukr Hai Wada To Wafa Ho Gya
Yad Rakhe Ga Ye Zamana SadaKaise Hamen Dasht Mein Luta GyaKaise Hamen Nehr Pe Pyasa RakhaKaise Mera Aakhri Sajda Hua
Khemo Main Kuhram Hai Mere KhudaBetion Behno Main Hai Matam BapaGhash Main Hai Sajad Akela MeraBaad Mere In Ka Hai Tu Aasra
Lo Dam-e-Aakhir Chali Aai Hain MaaSath Main Aaye Hain Mere Baba JanBhai Hasan Khak Pe Girya KunaDekhte Hain Nana Mera Imtehan
Jaise Hi Sar Khak Pe Shah Ne RakhaShimr-e-Lain Shah Ki Janib BadhaLarzi Zameen, Khon Barasne LagaAakhri Shabbir Ki Gonji Sada
Le Aye Mere Ab Tere HawaleMalik Tera Banda Ab Tere HawaleAre Zindagi Se Sair Ho ChukaKar Rha Hoon Aakhri Sajda