Nauha

Alam Abbas ka Shah ka Tazia Sajaya Ja Raha Hai

Alam Abbas ka Shah ka Tazia Sajaya Ja Raha HaiJise banna hai har Azakhane Chale Bulaya ja raha hai

Koi puche Agar ke hai kya faydabatao to Zara Ghame Shabbeer kaTo Batla do unhen Jo soye Hain unhen jagaya ja raha hai

Wo dekho dasht main Aza Hone lagiJo zinda Fikr thi Jawa Hone LagiUtho ae Hur Utho Suye Sarwar Chalo Bulaya Ja Raha hai

Sitam auqat me Qayamat tak raheSitam ruswa hua zamana ye kaheTabassum se use sare Maqtal tabhi rulaya ja raha hai

Azakhane me ek ajab manzar dikhaKahi parcham saja kahi jhula rakhaKahi par Tazia shahe mazloom ka banaya ja raha hai

Madad ko Aayiye Ali e MurtuzaKe Kunba Dasht Me Hua hai BeridaUnhe darbar me bhare bazar me phiraya ja raha hai

Jari ke Hath ko Qalam Jisne KiyaWo ab Napaid Hain Sitam Jisne KiyaMagar Har Mulk me Jari Ka ye Alam Uthaya Ja Raha Hai

Ye hai Farshe Aza Yaha jo ayegaDua e Sayyeda Wo Leke Jayegamuqaddar Har Bashar ka is darbar me banaya ja raha hai

Kahi pe Hazri Kahi Nazre ImamKahi Langar Lute Kahi Pani Ke JaamJo Pyasa Hai Use Bulakar Dekhiye Pilaya Ja raha Hai

Har Ek Zarre pe Hai Udasi Ka Samaa'nKahi'n Majlis me Hai Shahe Dee'n Ka Baya'nKahi'n Par marsiya Shahe Mazloom Ka sunaya ja raha hai

Jo Azam Ne Likha Ye Nauha Shah KaKahi'n Majlis me Jab Mudassir ne PadhaTo Yoo'n Lagne Laga Ke Manzar Dasht Ka Dikhaya Ja Raha Hai

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app