Nauha

Alam Bardar Aata Hai

Nauha khwan: Nadeem Sarwar

Ye Kaun Hai Falak Sara Larazta HaiYe Kaun Hai Zameen Ka Dil Dharakta HaiAlam Bardar Aata Hai

Ye Lagta Hai Ke Jaise Haider E Karrar Aata HaiAlam Bardar Aata Hai

Alam Thaame Hussaini Fauj Ka Saalaar Aata HaiAlam Bardar Aata HaiYe Lagta Hai Ke Jaise Haider E Karrar Aata HaiAlam Bardar Aata Hai

Falak Sara Larazta Hai Zameen Ka Dil Dharakta HaiFazaan Me Shor Barpa Hai Adon Ka Dam Nikalta HaiJari Ye Kaun Aata Hai Alam Kis Ka Ubharta HaiYazidi Fauj Main Hal Chal Dilon Pe Khauf Chhaya HaiYe Lagta Hai Ke Jaise Haider E Karrar Aata HaiAlam Bardar Aata Hai

Jo Thi Karrar Ki Haibat Wohi Abbas Ki HaibatKhuda Ke Sher Jaisi Hai Ali Ke Sher Ki TaqatWohi Chehra Wohi Sirat Wohi Jazba Wohi JurratAbhi Aaya Nahi Lekin Adu Pe Chha Gayi DehshatMisaal E Lafatah Shabbir Ka Saalaar Aata HaiAlam Bardar Aata HaiAlam Thaame Hussaini Fauj Ka Saalaar Aata HaiAlam Bardar Aata Hai

Abhi Ye Shoor Bharpa Tha Ke Gunja Haideri NaraMissal E Lafatah Ghazi Achanak Samne AayaMujhe Abbas Kehte Hain Jari Lalkar Kar BolaAlamdar E Hussaini Hun Ghulam E Syed E WalaSada Deta Huwa Ye Ghazi E Jarar Aata HaiAlam Bardar Aata HaiYe Lagta Hai Ke Jaise Haider E Karrar Aata HaiAlam Bardar Aata Hai

Yahan Tanha Dil E Haider Wahan Lakhon Jafa PekarYahan Bas Khatme Neza Wahan Tegho Sina KhanjarYahan Sokha Hai Mashkiza Wahan Sairab Hai LashkarYahan Shok E Shahadat Hai Wahan Shokeen E Maal O ZarMukabil Marhabo Ke Sahib E Kirdar Aata HaiAlam Bardar Aata HaiAlam Thaame Hussaini Fauj Ka Saalaar Aata HaiAlam Bardar Aata Hai

Adu Se Chhen Kar Darya Alam Abbas Ne GarhaYazidi Fooj Main Us Dam Achanak Shoor Ye UthaAry Bhago Tarai Se Ali Aaya Ali AayaPhir Us Ke Baad Darya Par Faqat Ghazi Nazar AayaJafa Karon Main Ban KAr Mout Ki Lalkar Aata HaiAlam Bardar Aata HaiYe Lagta Hai Ke Jaise Haider E Karrar Aata HaiAlam Bardar Aata Hai

Bhara Jis Waqt Mashkiza Bara Yaad Aayi MasumaLiye Pani Suye Khaima Chala Saqqa Sakina KaBarha Jab Ghird Ghazi Ke Yazidi Fooj Ka HalkaKaha Abbas Ne Dil Main Sakina Tum Na GhabranaAbhi Lekar Ye Mashkiza Tera Gham Khuar Aata HaiAlam Bardar Aata HaiAlam Thaame Hussaini Fauj Ka Saalaar Aata HaiAlam Bardar Aata Hai

Alam Ghazi Dilawar Ka Jab Us Ke Khoon Main DubaBurida Bazuon Wala Na Mashkiza Bacha PayaTarapta Khaak Par Dekha Jo Sheh Ne Bhai Ka LashaWafa Ko Naaz Hai Tujh Par Pukare Syed E WalaKhudaya Pass Ab Tere Mera Saalaar Aata HaiAlam Bardar Aata HaiYe Lagta Hai Ke Jaise Haider E Karrar Aata HaiAlam Bardar Aata Hai

Ye Kaun Hai Alamdar E HussainAbbas

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app