Noha Khuwan:Meesum AbbasGhulam e Fatah e Beerul Alam Main Zafar HoonQaum e Jinnat Ka Shah e Ummam Main Zafar HoonKhaas Mujh Per Hai ALI (ASWS) Ka Karam Main Zafar HoonAaj Rota Hoon MagarThaam Kar Apna JigarDasht Main Mara GayaMere Aaqa Ka Pisar
Hai Ye Afsos Me Mojood RahaJaan MAULA (ASWS) Pe Fida KarnasakaHaye Kuch Kar Na Saka… Zafar E Jinn
…Suno Main Tum Ko Batata Hoon Waqaya Jo Hua…Roze Ashoor Tha Pehla Hua Tha Raaj Mera…Vo Mere Jashn Ka Din Tha Saja Tha Taaj Mera
Do Ghulaamon Ne Mere Aake Kaha Ae MaalikJiske Baba Ke Sabab Taj Mila Ae MaalikQatl Hota Hai Jo Malik He Tera Ae MalikHogaya Hashr BapaTaj Pairon Me GiraApne Lashkar Ko LiyeMain Chala Karbobala
Meri Parwaz......
Meri Parwaaz Hui Shehre Musayyab Pe TamaamMujhko Tahad-e-Nazar Aya Nazar Lashkare ShaamMain Barha Agay Ke Miljayen Mujhe Mere IMAM (ASWS)Ruk Gaye Mere Qadam…Ruk Gaye Mere Qadam…
Jahan SHABBIR (ASWS) Ko Insanon Ne Tanha DekhaMeri Aankhon Ne Wahan Laakhon Ka Majma DekhaAmbiya Bhi They Malaaik They Ajinnah They KharayAisi Noorani Bashar They Ke Nazar Na Tehre
Ek Jaanib The RASOOL E ARABI(SAWS), Ek Jaanib They ALI (ASWS), Ek Jaanib HASAN IBNE ALI (ASWS)Phir Na Aankhon Ko Mere Taab Rahi, Maine ZEHRA (SAWS) Ki Sawaari Dekhi
Apni Nazron Ko Jhuka Kar Jo Hataya PeecheNabi Adam (as) , Nabi Musa(as) , Nabi Haroon (as) DikheIsa (as) o Yusuf (as) o Yaqoub (as) Bhi Pehlu Main MileHud (as) aur Lut (as) Kahin Nuh (as) Kahin Khizr (as) KaheenZikriya (as) Yarmiya(as) Aur Shees (as) O Sulaiman (as)Bhi They
Mukhtasir Ye Ke Nabi Saare Wahaan They MaujoodUn Ke Peeche Thi Malaaik Ki Qataarain MaujoodFarishte Gaane Jahanumm - Farishte Gaane BahishtIsrael, Israfeel, Mikael, DardaeelRizwan aur Maalik, Fitrus Wa Jibrael
Saath SHABBIR (ASWS)Ke Maujood They Sab Aali MuqaamMaine Socha Ke Kahan Jaaye Bhala Adna GhulamMujhko Pehchaan Bhi Paayen Ya Nahi Mere ImamHaaye Umeed Meri Dil Me Murjhaane LagiKe Achanak Se Wahan Ye Sada Aane LagiAao Zaafar Aao ZaafarAao Zaafar Tumhe SHABBIR (ASWS) Ne Bulwaya He
Zafar E Jinn Ana Jafar E Jin
Pohoncha Qadmo Me Kaha Maula Shahe Jinn o BasharHo Salam Aap Pe Iss Jinn Ka Shahe Jinn o BasharHukm Pe Aapke Hoon Fidya Shahe Jinn O BasharDil Mera Doob GayaJab Ye MAULA (ASWS) Ne KahaTum Palat Jaao AgarHone Aaye Ho Fida
Maine MAULA (ASWS) Se Kaha Izn Mujhe Den Shahe DeenBolay SHABBIR (ASWS) Ye Jinnat Ki Hai Jung NahiMain Ye Bola Kahan Insa’n Hen Darinde SabhiBolay SHABBIR (ASWS) Ke Nana Ki Ye Ummat He MeriInhe Tum Kuch Na Kaho, Inhe Tum Kuch Na Kaho
Tum Hi Batlao Jiyoon Kaise Bhala Me ZaferAao Dikhlaaon Tumhe Karbobala Main ZaafarJanisaaron Ke Janaaze DekhoMere Pyaaron Ke Ye Laashe DekhoTukre QASIM (ASWS) Ka Saraapa DekhoZakhmi AKBAR (ASWS) Ka Kaleja DekhoKaheen ABBAS (ASWS) Ke Baazu Kaheen ASGHAR (ASWS) Ka GuluRun Me Bikhra He Sabhi Bani Hashim Ka Lahu
Dil Ko Ab Taab Nahi Phatne Laga He Ye JigarIsse Agay Main Bayaan Karnahi Sakta ManzarMukhtasir Ye Ke Huay Qatl Shahe Jinn O BasharWada ABID (ASWS) Se KiyaMain Hoon Masroof E AzaJab Talak Zinda RahaMain Karoonga Girya
Tha Yahi Mesum o Salman Kalaam E ZaafarKarbala Main Hain Jahan Dafn IMAM E Zaafar (ASWS)Usse Kuch Door Hai Maujood Muqaam E ZaafarZafar E Jinn Ne KiyaApne Waade Ko WafaAakhri Saans TalakThi Labon Par Ye Sada