Qasida

Aye Mere Mola Hussain (A.s.)Aye Mere Aqaa Hussain (A.s.)

Qasida khwan: Mir Hasan Mir

Aye Mere Mola Hussain (A.s.)Aye Mere Aqaa Hussain (A.s.)Aai Mere Maula Hussain (A.s.), Aai Mere Aka Hussain(A.s.).....2Chal Raha Hai Do Jahan Mein Aap Ka Sikka Hussain (A.s.)

Aai Mere Maula Hussain (A.s.), Aai Mere Aka Hussain(A.s.)

Yeh Samandar Yeh Zameen O Aasman Khilte GulabKehkashan Yeh Chaand Tare Yeh Chamakta AaftabDo Jahan Mein Jo Bhi Hai Sub Hai Tera Sadka Hussain (A.s.)

Aai Mere Maula Hussain (A.s.), Aai Mere Aka Hussain(A.s.)

Khuld Se Milti Hai Jaakar Jis Ke Rauze Ki HadeinMuntazir Rehti Hai Khud Jis Ke Amal Ki AaiyateinKaun Hai Tere Siva Is Shan Ka Banda Hussain (A.s.)

Aai Mere Maula Hussain (A.s.), Aai Mere Aka Hussain(A.s.)

Zindagi Hote Hue Fitrus Tha Marne Ke KaribMas Hua Jhule Se Tere Ban Gaya Uska NaseebAllah (S.w.t.) Re Kis Kis Ka Maseeha Hai Tera Jhula Hussain (A.s.)

Aai Mere Maula Hussain (A.s.), Aai Mere Aka Hussain(A.s.)

Dono Aalam Ki Ibadat Jis Ke Sajdah Par NisarJis Ke Kandhon Par Hai Kul Tawheed Ka Daro MadarKaun Hai Tere Siva Is Shan Ka Banda Hussain (A.s.)

Aai Mere Maula Hussain (A.s.), Aai Mere Aka Hussain(A.s.)

Kar Diya Inkar Haq Ne Ek Bete Ka JiseTune Aai Maula Ushi Ko Sat Bete De DiyeYun Badal Deta Hai Tu Takder Ka Likha Hussain (A.s.)

Aai Mere Maula Hussain (A.s.), Aai Mere Aka Hussain(A.s.)

Surat O Seerat Mein Hai Jo Hu Ba Hu Khairun NisaJisne Pale Akbar (A.s.) O Abbas (A.s.) Jaise BawafaTu Ne Us Zainab (S.a.) Ko Apni Godh Me Pala Hussain (A.s.)

Kya Garz Hum Ko Zamane Ke Badal Te Rup SeKyun Bhala Ghabraie Hum Zulm O Sitam Ke Dhup SeJub Azadaron Ke Sar Par Hai Tera Saya Hussain (A.s.)

Mani e Sabr O Raza Aai Sahebe Lauh O KalamSajda Gahe Aadamiat Hai Tere Naksh O KadamTere Dam Se Ho Raha Hai Deen Ka Charcha Hussain (A.s.)

Zarrah Zarrah Dasht Ka Mehtab Jis Ne Kar DiyaApne Khoon Se Deen Ko Sairab Jis Ne Kar DiyaTu Hai Wah Kaunain Mein Sah Roz Ka Pyasa Hussain (A.s.)

Sab Shahadaton Ne Kiya Teri Shahadat Ko SalamBandagi Karne Lagi Teri Ibadat Ko SalamTu Ne Tapti Ret Par Aaisa Kiya Sajda Hussain (A.s.)

Har Munafiq Ke Liye Chalti Hui Shamsheer HunMadh Khwan E Zainab (S.a.) O Shabbir (A.s.) Hun Main Meer HunIsliye Dono Jahan Mein Hai Mera Charcha Hussain (A.s.)

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app