Aey Neher E Alqama
Aaj Bhi Is Bekasi Par Ro Rahi Hai KarbalaAlqama Bahati Rahi Aur Qafila Pyasa RahaAey Neher E Alqama
Pyasa Tha Tere Saamne Kunba Rasool KaAey Neher E Alqama
Aey Neher E Alqama Tera Mehman Tha HussainYoon Tere Paas Rah Ke Bhi Usko Mila Na ChainTujhse Hai Ye Gila Aey Neher E AlqamaPyasa Tha Tere Saamne Kunba Rasool KaAey Neher E Alqama
Khaimay Thy Ahale Bait Ke Kitane Tere QareebPyase Hi Tere Saamne Wo Mar Gaye GareebRoti Thi Karbala Aey Neher E AlqamaAaj Bhi Is Bekasi Par Ro Rahi Hai KarbalaAlqama Bahati Rahi Aur Qafila Pyasa RahaAey Neher E Alqama
Mashkeza Jiske Hath Main Tha Dosh Par AlamSahil Pe Tere Aae The Abbas Ke QadamRutba Tujhe Mila Aey Neher E AlqamaPyasa Tha Tere Saamne Kunba Rasool KaAey Neher E Alqama
Sokhi Pari Thi Mashke Sakina Tarai MainDo Boond Pani Kya Na Tha Sari Khudai MainHaye Tone Ye Kya Kiya Aey Neher E AlqamaAaj Bhi Is Bekasi Par Ro Rahi Hai KarbalaAlqama Bahati Rahi Aur Qafila Pyasa RahaAey Neher E Alqama
Ik Bekasi Si Ahale Haram Par Tamaam ThiKitni Udaas Sham E Gareebaan Ki Shaam ThiAey Wa Musebata Aey Neher E AlqamaPyasa Tha Tere Saamne Kunba Rasool KaAey Neher E Alqama
Noho Main Hain Jo Tazkira E Alqama HilalCharon Taraf Hai Aaj Bhi Ik Matam E MalalJaari Hai Ye Aza Aey Neher E AlqamaAaj Bhi Is Bekasi Par Ro Rahi Hai KarbalaAlqama Bahati Rahi Aur Qafila Pyasa Raha