Nauha

Dekhte Jana Ali Akbar

Nauha khwan: Mir Hasan Mir

Noha Khuwan:Mir Hasan Mir

AKBAR...... ALI AKBAR (ASWS)......3

Chala Jo Khai Me Se , Marne RASOOL (SAWS) Jaisa Pisar,

To Peeche Peeche Yeh Kehte Hue Chale SARWAR (ASWS)

Mud Mud Ke Mujhe Dehte Jaana ALI AKBAR (ASWS).....3

Kutch Der To Jee Le Tera......2..... Baba ALI AKBAR (ASWS)

Mud Mud Ke Mujhe Dehte Jaana ALI AKBAR (ASWS).....2

Tum Zeen Gironge To Badal Jaiengi Dunia

Makhtal Ki Taraf Kaun Humein Le Ke Chalenga

qati (LA) To Bataienge Na .....2.....Rasta ALI AKBAR (ASWS)

Mud Mud Ke Mujhe Dehte Jaana ALI AKBAR (ASWS).....2

BEEMAR E MEDINA (SAWS) Ki Khabar Aati Hi Hogi

Tum Sat Liye Jaate Ho Beenaie Bhi Meri

Main Kaisa Padhunga Khat E.....2..... SUGHRA (SAWS) ALI AKBAR (ASWS)

Mud Mud Ke Mujhe Dehte Jaana ALI AKBAR (ASWS).....2

Ho Jaienga Mushkil Mera Aana Mere Beta,

Makhtal Mein Kahin Door Na Jaana Mere Beta

Ab Mujhse Chala Bhi Nahi, Jaata ALI AKBAR (ASWS)

Mud Mud Ke Mujhe Dehte Jaana ALI AKBAR (ASWS).....2

Ehsas Tadapne Ka Hamare Tujhe Hota

Meri Tarah Tu Apna Jigar Tham Ke Rota

Tera Bhi Jo Hota Koi.....2..... Beta ALI AKBAR (ASWS)

Mud Mud Ke Mujhe Dehte Jaana ALI AKBAR (ASWS).....2

NANA (SAWS) Mere Pooche Jo Kahan Der Lagaie

Keh Dena Ijazat Badi Mushkil Se Hai Paaie

Lagjao Gale Aake.....2..... Dubara ALI AKBAR (ASWS)

Mud Mud Ke Mujhe Dehte Jaana ALI AKBAR (ASWS).....2

NANA (SAWS) Gaiye Tub Aaie Thi AMMA (SAWS) Pe Zaifee

Tum Jaate Ho Halat Hai Ajab BINTE ALI (SAWS) Ki

ZAINAB (SAWS) Hui Jaati Zaeefa ALI AKBAR (ASWS)

Mud Mud Ke Mujhe Dehte Jaana ALI AKBAR (ASWS).....2

Aaie Lal Tujhe Karta Hun BABA (ASWS) Ke Hawale

Maidan Me Haste Hai Khade Barchiyon Wale

Aachi Tarha Phir Dekh Lun......2...... Seena ALI AKBAR (ASWS)

Mud Mud Ke Mujhe Dehte Jaana ALI AKBAR (ASWS).....2

Sar Peet Ke MAULA (ASWS) Ne Takallum Yeh Sada Di

Haie Chadar E ZAINAB (SAWS) Meri Gurbar Ki Gawahi

Mai Tum Ko Kafan De Nahi Sakta ALI AKBAR (ASWS)

Mud Mud Ke Mujhe Dehte Jaana ALI AKBAR (ASWS).....2

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app