Nauha

Dil me Karbala Hai

Nauha khwan: Mesum Abbas

Watch the recitation

Ya Hussain (as)

HUSSAIN AS Ne Apna Dil ALLAH SWT Ko Ata KiyaAur ALLAH (swt) Ne HUSSAIN (as) Ko Laakhon Dil Ata Kiye

Karbala Karbala KarbalaKarbala Karbala Karbala

Ishq E KHUDA SWT..KarbalaDars E Wafa..KarbalaRaahnuma..KarbalaRaah E Baqa..KarbalaGhum Ki Dawa..Haq Ka Pata..Deen Ki Sada..RAB Ki Ata..Karbala

Seeno'n Mein Hai KarbalaZehno'n Mein Hai KarbalaDharkano'n Mein KarbalaSaanso'n Mein Hai Karbala

Jo Kabhi Na Ja Saka..KarbalaHo Ke Jo Bhi Aa Gaya..KarbalaSun Sako To Do Dilo'n Ki Ek Hi Sada Hai

Dil Hai Karbala MaiDil Mai Karbala Hai

Sote Jagte Nigaah Mein Haramsara Hal Hai Karbala MaiDil Mai Karbala Hai

1) Zindagi Mein Aisa Koi Shakhs To Dikha NahiJo Ye Keh De Karbala Mein Manga Aur Mila NahiDhoondhte Ho Tum Kaha'n, Hai Yahi'n Pe La Maka'nKarbala HUSSAIN Ki, HUSSAIN Ka Khuda Hai

2) Is Qadar Buland Ye Zameen Be Sabab NahiTashnalab Ki Sarzamee'n Pe Koi Tashnalab NahiRizq, Ilm, Aagahi, Mil Rahi Hai ZindagiJis Ke Haath Kat Gaye Yahan Wo Bant'ta Hai

Karbala Karbala KarbalaKarbala Karbala Karbala

IMAM JAFAR E SADIQ AS Farmate HainMomino Karbala Jaya KaroTaki Tum Jannat Ke Rasto'n Se Anjaan Na Ho..

3) Zayeri Ka Jab Sharaf Mila HUSSAIN AS Ki QasamPehli Baar Karbala Main Maine Jab Rakhe QadamKaifiyat Bataaon Kya, Haal E Dil Sunaaon KyaAisa Lag Raha Tha Bas Yahi Watan Mera Hai

4) Har NABI Ko Karbala Dikhayi Hai KHUDA NeKarbala Ki Manzilat Batayi Hai KHUDA NeZakhm Ho Ya Ho Qaza, Har Maraz Ki Hai DawaSar Zameen E Karbala Ki Khaak Bhi Shifa Hai

5) Qarz Hai Yahi Lahu Pe Aur Farz Bhi YahiMajlis E HUSSAIN Ko Hai Waqf Saari ZindagiFarsh E Ghum Bichayen Hum, Aur Alam Sajayen HumBachpane Mein Walidain Se Yahi Suna Hai

YA ZEHRA (x4)

Abad Wallah YA ZEHRAManinsa HUSSAINA

YA ZEHRA (x4)

6) Wada SYEDA Se Jo Kiya Tha Wo Nibhayenge.. Ya ZEHRAAane Wali Nasl Ko Bhi Karbala Sunayenge.. YA ZEHRAIshq Ke Ye Marhale, Tai Karenge Ishq SeMajlis E HUSSAIN Se Yahi Sabaq Mila Hai

7) Ghar Mein Jo Alam Saja Rahe Hain Hum..YA HUSSIANMajlis E Aza Kara Rahe Hain Hum.. YA HUSSAINHar Baras Ye Ghum Mana Rahe Hain HumNauhe Marsiye Suna Rahe Hain HumDawa Jab Kiya Hai To Saboot Bhi Diya Hai

8) ZAINAB e Hazeen Ne Qaid E Shaam Mai Yahi KahaMera Laal Mera Bhai Aur Mera BaWafaSabke Laashe Hain Wahan, Main Aseer Hon YahanIs Liye To Har Ghari Labo'n Pe Ye Buka Hai

9) Mesum Aur Mazhar Abidi Daleel ChahiyeJab Jahan Jise Nijaat Ki Sabeel ChahiyeUsko Mashwara Ye Do, Wird Raat Din KaroBas Yahi Nijaat Hai Agar Tu keh Raha Hai

Dil Hai Karbala MainDil Main Karbala Hai

HUSSAIN, YA HUSSAIN YA HUSSAIN YA HUSSAINKarte Rahain Ahle Aza.. HUSSAINLab Pe Rahe Zikr Tera.. HUSSAINTujhse Se Karain Yuheen WafaTere Azadar Sada..

HUSSAIN ASYA HUSSIAN AS YA HUSSAIN AS YA HUSSIAN AS

HUSSAIN AS Tere Liye...

Aqida Bas Ye Kahe.. HUSSAIN Tere LiyeSada Ye Dil Se Uthe..HUSSAIN Tere LiyeYe Hath Khalq Hue..HUSSAIN Tere Liye

YE DIL DHARAKTA RAHE..HUSSAIN AS Tere Liye

Noha Credits:👉Noha: Dil Hai Karbala Main👉Nohakhwan: Mesum Abbas👉Poet & Composer: Mazher Abidi👉Backing Vocals: Rajab Ali, Munawwer Ali, Amanat Ali & Ghulam Abbas👉Recorded at ODS Studios by M. Ovais Qureshi & M. Aamir Qureshi👉Mixed and Mastered by M. Omar Qureshi (ODS - Karachi)

Video Credits:👉Director: Ali Arman Baltistani (TNA Productions)👉D.O.P: Asad Purki👉Edit & Post: M. Junaid Qureshi (JQ Productions)👉Art Director/Cover Creatives: Yawer Damani (YAD Graphics)👉Stills & Artwork Photography: Yawer Damani👉Web Design: Asad Rizvi (USA)👉Sarparast & Chief Organizer: Syed Baqar Naqvi (USA)👉Special Thanks: Anjuman e Tiflan e Muslim (as)

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app