----------Eid-e-Zehra (s.a.)----------Kitni purnoor taro taaza sahar aayi haiBagh-e-firdaus ki khushboo fiza me chhayi haiKhuda ke Fazl se khushiya(n) hain saath Rahmat keEid-e-Zehra (s) ki mubarak wo ghari aayi haiYoun chhalaktey hain masarrat se shiyon k chehreymuskurahat gul-e-zehra (s) pe nazar aayi haiHar mohibbaane Ali kahta hai bakkhin-bakkhinDushman-e-Shah ka paigham-e-ajal laayi haiYeh mila majlis-o-matam ka tabarruk hamkoMarefat haq ki azaa ne hamein karwaaee haiHam gunahgaar hain phir bhi ye sharaf hasil haihamney mazloom ka gham aur khushi manaayi haiTajposhi hai jo Mahdi (a) ki mila hai mansabFauj-e-Aada ab isee baat se ghabraayi haiArsh par dhoom hai k Eid manaein ham sabShaad dikhtee hamein shabbir ki ma-jaaee haikyon baghalgeer na hoan aaj ghulaman-e-batoolAaj Zalim ko mayassar huwi ruswaai haiKyo(n) na mukhtar ka ehsaan ho ham par HAIDERApnee jo chaah wa hasrat thi, wo bar aayi hai
Acti