Nauha

EK BAAR MUJHE BABA KA DIDAAR KARADO

••Taboot chala ghar se to zainab ye pukari

••Sau baar behen aap pe qurbaan Ho bhaiEk baar mujhe baba ka deedar kara do

••Taboot chala ghar se to zainab ye pukariEk baar mujhe baba ka deedar kara do

1. Ye daagh yateemi ka na seh paungi bhayyabin baap ke zinda nahi reh paungi bhayya..(2)deti hu tumhe khaliqe akbar ki duhaiEk baar mujhe baba ka deedar kara do

2. Dil ghum se phata jata hai ankho me nahi noorKulsoom tadapti hai to abbas hai ranjoor..(2)Mano ye meri baat ke zainab hai dugaai

3. Amma hai nahi sar pe na ab baap ka saayaYe kaisi musibat ki ghadi aayi khuda ya..(2)Abbas zara roklo badhkar ye sawari

4. Baba to mera saare zamane ka wali haiMehboob e khuda wand hai damaad e nabi hai..(2)Kis jurm pe zalim ne hai talwaar lagai

5. Sajde me kiya qatl Mohammad ke wasi kaKyu khoon bahaya hai imam e azali ka..(2)Hay hay bine muljim ka zara sharm na aai

6. Jibreel ka ustad mohammad ka wafadaarMasjid me hua qatl zamane ka madadgaar..(2)Koofe me har ek simt ghata ghum ki hai chhai

7. Rukh karke baqiyya ki tarag boli wo ghumkhwaarKyu aale Mohammad hai musibat me giraftaar..(2)Amma mere baba ko ye kaisi ajal aai

8. Ab kaun yateemo ka khabargeer banegaMajboor ka laachar ka dilgeer banega..(2)Kaunain ke mukhtar se hoti hai judai

9. Ye kehke azeem hogai behosh wo muztarMai jee ke karu kya jo nahi hai dare safdar..(2)Is bayn se kulsoom pe ghash hogaya taari

Ek baar mujhe baba ka deedar kara doTaboot chala ghar se to zainab ye pukari

Sau baar behen aap pe qurbaan ho bhai••

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app