Qasida

Hai dono jahaa'n mey hukoomat Raza ki

Hai dono jahaa'n mey hukoomat Raza kiHar ek lafz qura'n ki aayat Raza kiHar ek she'y pey hai dekho khudrat Raza kiTu Dil mey basaaley mohabbat Raza ki

Tujhey bhii mileygi shifaa'at Raza kiFarishtey sajaatey hai saara madeenaSunaa jabsey hogi wilaadat Raza kiKahaa haskey kaazim ney godii mey leykar

Merey jadd ke jaisii hai soorat Raza kiHo mushkil mey momin munaafikh koi bhiBachaaney ki sabko hai aadat Raza kiUsii ki tamanna jinaa'h karrahi hai

Dilo'n mey hai jiskey bhii ulfat Raza kiZamee'n Chaand sooraj sabhi par hai khaayamSadaarat khuda ki nizaamat Raza kiBayaa'n karrahey hai jo ahley mawaddat

Ye mehfil sajaakar fazeelat Raza kiImam e Raza ki hai jis Ghar pey parchamBarastii hai us Ghar pey rehmat Raza kiFarishto'n ka lashkar usey gheyrleyga

Jo kartaa hai mehfil mey midhat Raza kiYe nobat sadaa raat din deyrahii haiYe dunya hai baaqi badaulat Raza kiNabi ki ziyaarat se mehroom hai gar

To jaa, jaakey karley ziyaarat Raza kiKayii hajj merey naam likkhey Gaye haiMy bass Karkey aaya ziyaarat Raza kiNakeerain Khush hokey sunney lagey hai

Jo karney lagaa Hoon my midhat Raza kiNa samjho zamee'n Tak hi mehdood hogiHai dono jahaa'n mey hukoomat Raza kiAsad paav chookar ye samjhaa rahaa hai

Aye maamoon, Pehchaan taaqat Raza kiUsey toos jaaney se rokeyga ab kaunJisey milgayi hai ijaazat Raza kiYe Jo likhrahaa hai tu "GAAZI" qaseedey

Yaqeenan hai tujhpar Inaayat Raza ki-Az Qalam e "GAAZI"

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app