Qasida

Hai Ishq e Mohammad

Qasida khwan: Mir Hasan Mir

Hai Ishk E Mohammad (S.a.w.w.) Ka Dastoor Juda Jaana.....2Jeene Ki Alamat Hai Sarkar Pe Mar Jaana

Hai Ishk E Mohammad (S.a.w.w.) Ka Dastoor Juda Jaana

Tai Kar Ke Yeh Nikla Hai Ghar Se Koi Deewana.....2Is Baar Madine Se Wapas Hi Nahi Aana

Jibril Se Bhi Aage Pohuche Hai Shab E Asrar.....2Kaam Aagaya Zarron Ka Kadmon Se Lipat Jaana

Jaa Poch Le Adam (A.s.) Se Mitti Hai Kharab Uski.....2Jis Ne Bhi Mohammad (S.a.w.w.) Ko Apna Sa Bashar Jana

Salman Ka Shaida Hun Behlol Ka Aashik Hun.....2Kehti Hai Mujhe Dunia Deewano Ka Deewana

Har Roz Hi Hoti Hai Aaqa Ki Sana Akbar.....2Har Roz Hi Hota Hai Jannat Me Mera Jaana

Hai Ish E Mohammad (A.a.w.w.) Dastoor Juda Jaana.....

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app