Nauha

Haye ALAMDAR

Nauha khwan: Mir Hasan Mir

Haye Alamadar Noha By Mir Hasan Mir

Karte hai matam Abbas as kaHogya marna sitam Abbas as kaHaye Alamdar haye Alamdar as

Kehte the qamar tham ke yeh Seyyed e abrarHaye Alamdar as haye Alamdar as

Yeh haal hai lashe ka sambhala nahi jataTeer ankh se bhai ki nikala nahi jataImdad ko ajaiye Ya Haidar e Karar as

Zainab ne teri aas pe chora tha madinaMai kese bataon use saqqa e SakinaMara gaya Zainab sa teri chadar ka nighedar

Tum qatal hui hum pe bhi yeh chal jaigi shamsheerAgyar mai reh jaigi tanha meri hamsheerZainab sa ki rida bachne ke baqi nahi aasar

Jis tarha ghar laye the masjid se Ali as koUs tarha se le jainge khemay mai jari koAkber mere bhai ka janaza karo tayar

Bazoo bhi qalam hogaye aye bazuye Shabbir asTukray hai badam abkhon mai pe wast hua teerKis ne ye meri maa ki duaon pe kiya waar

Haye Alamdar haye Alamdar as

Aati hai sadaa loot lo Namoos e Nabi koAb marna asaan hai Hussain ibn e Ali as koMarne pe tere jashan manate hai sitamgar

Akber as hamain mushkil se bohat layein hain bhaiMaidan mai girte hui hum ayein hain bhaiAnkhein to zara kholo mere munis o ghamkhuwar

Ik baat tumhain karb ki batlata hun bhaiyaJab bhi koi masooma ke marega tamachaRo ro ke pukare ge Sakina sa tumhain har baar

Haye Alamdar haye Alamdar asTha mir taqalum yahi Shabbir ka nohaJate hui pura karo armaan hamaraAye bhai hamain bhai pukaro zara ik baar

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app