Nauha

Haye Haye Ali Akbar

kehti thi ye maa khoon bhari mayyat se lipat karhaaye haaye ali akbar haay haay ali akbar

armaan tha pehnaungi poshaak shahaniafsos ke raas aayi na tujhko ye jawanikaisa tha muqaddar haay haay ali akbarkehti thi ye maa....

itna to zara tehro tumhein dulha banaloonbas ek jhalak sehre ki sughra ko dhikaloonbechain thi qaahar haay haay ali akbarkehti thi ye maa....

athara baras paal ke parwaan chadayawo gaysuwon wala hai mera khoon may nahaayaye kya hua dilbar haay haay ali akbarkehti thi ye maa....

maa teri judaai may bhala kaise jiyegimaar jaayegi sughra jo khabar teri sunegiab kya karoon jeekar haay haay ali akbarkehti thi ye maa....

tehro ke mai atharween mannat to berha doonphir leke balaayein tujhe jeene ki dua doonsadqay ho ye maadar haay haay ali akbarkehti thi ye maa....

pehle to ek awaaz pe uth jaate thay betaab itni sadaa-on pe bhi pehlu nahi badlakya ho gaya dilbar haay haay ali akbarkehti thi ye maa....

tum hichkiya le le ke jo dam tod rahe homoo maa se hamesha ke liye mod rahe hokyon roothe ho dilbar haay haay ali akbarkehti thi ye maa....

aaye jo hamay lootne qaimay may sitamgarmaa degi sadaayein ali akbar ali akbarchin jaayegi chaadar haay haay ali akbarkehti thi ye maa....

jab koi jawaan laash nazar aati hai mehsharek yaad suye karbobala jaati hai mehshardil rota hai keh kar haay haay ali akbarkehti thi ye maa....

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app