Hye Sugra Nay Likha Hay Khat Bap ko Syeda Farwa JaunpuriHye Sugra Nay Likha Hay Khat Bap koPohncha Qasid Jo Khat Lekay Karbobala
Hye...
Shah Ko Khat Dekay Phir Wo Yea Kehnay Laga
Hayee
Ho Salam App Par Aqa Jin-o-Bashar
Laya Hung Main Sugra (sa) Nay Khat Hay Likha
Hye Sugra Nay Likha Hay Khat Bap koPiar Sugra (sa) Bohut Karti Hay Apko
Baba Asagar Batin Hain Kesa Mera
Muje Daikhainge To Wo Pehchanega Kia
Usko Godi Mai Lekay Khilaungi Main
Khuwab Mera Yes Pura Kia Ho Payga
Yad Mujhko Sakina (sa) Ki Ati Rahi
Khoon Kay Ansu Wo Mujhko Rulati Rahi
Ab Bhi Seenay Pay Usko Sulatay Hain Kia
Wo Na Soain To Khud Bi Na Sotay Hain Kia
Bheja Qasid Say Akbar (as) Ka Kurta Hay Jo
Ho Jo Shadi Kurta Yea Pehnega Wo
Jab Meray Bhai Kay Sar Pay Sehra Bandhay
Karbala Ap Mujhko Bulaingay Kia
Sehray Ki Har Ladi Khud Sajaungi Main
Uskay Hathon Pay Mehendi Lagaungi Main
Jab Wo Dulha Banega Sar-e-Karbala
Sadqa Hathon Say Uska Utarungi Main
Khuwab Meray Kia Puray Yea Ho Paingay
Baba Ghar Lout Kar App Kab Aingay
Ab To Kuch Din Bhi Baba Main Jee Na Skaung
Khuwab Meray Meray Sath Mar Jaingay
Haye Sugra (sa) Nay Likha Hay Khat Bap Ko
Joun Sugra Ka Khat Bap Nay Jab Padha
Tham Kay Apnay Dil Ko Wo Rota Raha
Daikh Kar Lash Akbar (as) Tarap Kar Kaha
Kia Kahung Haye Akbar (as) Tera Na Raha