Nauha

Hazrat Imam Hussain

Nauha khwan: Nadeem Sarwar

Dayein Hassan Bayin Jari Pushat Panahi Ko NabiSar Pe Khuda Wande Jari Seens Par Zehra Ali

Mere Mola Ko Mayasar Hai Khazana KaisaIn Ka Rutbah Imamo Main Shahana KaisaKaise Kaise Hain Naseebo Main Aujale In KeMere Aaqa Ko Mila Hai Ye Ghrana KaisaMarhaba Marhaba Mustafa Ki Baat MainBa Khuda Ba Khuda Sari Kainat MainGhunj Raha Hai Bas Aik NaamHazrat Imam Hussain Aleyhis Salam

Lakhon Darood Aap Pe Lakhon SalamHazrat Imam Hussain Aleyhis Salam

Allah Ne Kya Khub Sawara HaiSarkar Ke Aagan Main Utara HaiHar Koom Ki Ankhon Ka Sitara HaiHazrat Imam Hussain Aleyhis Salam

Zinda Hai Hussain Us Ka Hai Kirdar Bhi ZindaKirdar Jo Zinda Hai To Maiyar Bhi ZindaMaiyar Jo Zinda Hai To Afkar Bhi ZindaAfkar Jo Zinda To Azadar Bhi ZindaIbtida Ibtida Mustafa Ke Doosh ParInteha Inteha Neze Par Buland SarGhunj Raha Hai Bas Aik NaamHazrat Imam Hussain Aleyhis Salam

Qadam Qadam Nagar Nagar Ya HussainDillam Dillam Nazar Nazar Ya HussainSada Ka To Ki Rahguzr Ya HussainKhao Khao Ba Chashme Dar Ya HussainYa Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Tarikh Mai Iss Jaisa Na Insan Mile GaAisa Na Koi Aashike Rahman Mile GaNa Aasa Koi Shah E Shahidan Mile GaNa Aasa Koi Sabar Ka Sultan Mile GaLa Ilah La Ilah La Ilah Ka PasibanDeen Panah Deen Panah Mustafa Ka TarjumaGhunj Raha Hai Bas Aik NaamHazrat Imam Hussain Aleyhis Salam

Allah Ne Kya Khub Sawara HaiSarkar Ke Aagan Main Utara HaiHar Koom Ki Ankhon Ka Sitara HaiHazrat Imam Hussain Aleyhis Salam

Har Dil Main Ghame Syede Abrar Mile GaHar Door Main Mazloom Ka Gham Khar Mile GaHar Koum Main Shabbir Ka Zawar Mile GaHar Mulk Main Moula Ka Azadar Mile GaHar Jgha Har Jgha Momino Ke DarmiyaHai Sada Hai Sada Dharkano Ke DarmiyaGhunj Raha Hai Bas Aik NaamHazrat Imam Hussain Aleyhis Salam

Qadam Qadam Nagar Nagar Ya HussainDillam Dillam Nazar Nazar Ya HussainSada Ka To Ki Rahguzr Ya HussainKhao Khao Ba Chashme Dar Ya HussainYa Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Hathon Main Alam Thamy Wo Aata Hai AzadarHaan Majlis O Matam Main Hi Rehta Hai AzadarMaa Baap Hussaini Hon To Banta Hai AzadarMaula Ye Tumhara Hai Tumhara Hai AzadarSilsila Silsila Ye Aza Ka SilsilaRabta Rabta Karbala Se RabtaGhunj Raha Hai Bas Aik NaamHazrat Imam Hussain Aleyhis Salam

Allah Ne Kya Khub Sawara HaiSarkar Ke Aagan Main Utara HaiHar Koom Ki Ankhon Ka Sitara HaiHazrat Imam Hussain Aleyhis Salam

Shabbir Ka Dil Dekhe Zara Dekhe ZamanaWallah Kaha Tha Jo Wohi Kar Ke DikhayaKhush Nodi E Khaliq Main Bhare Ghar Ko LutayaNeze Pe Bhi Aaya To Usi Shan Se AayaBadshah Badshah Hai Dilon Ka BadshahChha Gaya Chha Gaya Do Jahan Pe Chha GayaGhunj Raha Hai Bas Aik NaamHazrat Imam Hussain Aleyhis Salam

Qadam Qadam Nagar Nagar Ya HussainDillam Dillam Nazar Nazar Ya HussainSada Ka To Ki Rahguzr Ya HussainKhao Khao Ba Chashme Dar Ya HussainYa Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Kis Shan Se Maqtal Main Qadam Rakhta Hai ShabbirKab Jane Ki Parwah Kiya Karta Hai ShabbirDarta Hai Na Jhukta Hai Na Ghabrata Hai ShabbirLakhon Bhi Mukhlif Hon To Sach Kehta Hai ShabbirHonsla Honsla Shah E Deen Ka HonslaSun Sada Sun Sada Do Jahan KI Hai SadaGhunj Raha Hai Bas Aik NaamHazrat Imam Hussain Aleyhis Salam

Allah Ne Kya Khub Sawara HaiSarkar Ke Aagan Main Utara HaiHar Koom Ki Ankhon Ka Sitara HaiHazrat Imam Hussain Aleyhis Salam

Han Aao Kare Ham Sheh E Abrar Ka MatamIslam Ke Mohsin Ka Madad Gaar Ka MatamAsghar Ali Akbar Ka Aur Ansar Ka MatamZainab K Sakina Ka Alam Daar Ka MatamBekhata Bekhata Hai Gharib E SyedaHai Bapa Hai Bapa Tera Gham Jagah JagahGhunj Raha Hai Bas Aik NaamHazrat Imam Hussain Aleyhis Salam

Dayin Hassan Bayin Jari Pushat Panahi Ko NabiSar Pe Khuda Wande Jari Seense Par Zehra AliDayin Hassan Bayin Jari Pushat Panahi Ko NabiSar Pe Khuda Wande Jari Seens Par Zehra Ali

Hazrat Imam Hussain HussainHaye Shah E MashraqenAye Dil E Zehra Ke ChenHan Mere Mola HussainHazrat Imam Hussain HussainAali Maqam Hussain HussainTum Pe Salam Hussain HussainHazrat Imam Hussain Hussain

Haye Shah E KarbalaAap Ka Ghar Lut GayeWada Wafa Kar DiyaHazrat Imam Hussain HussainShah E Zaman Hussain HussainZakhmi Badan Hussain HussainTishna Dahan Hussain HussainHazrat Imam Hussain Hussain

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app