Mir Hasan Mir
●Hur Araha Hai Akbar Seenay Usay LagaoHur Ibn Rihai Hai Ja Mairay Bhai
●Hur Araha Hai Akbar Seenay Usay LagaoMehmaan Ko Hamaray Khaimay Main Lay Kay Jao
●Khud Yad Hoga Us Ko, Pani Tha Us Nay RokaKhudar Woh Bohat Hai, Sharminda Hum Say HogaPiyasay Hain Saray Bachai, Us Ko Na Yeh Batao
●Dekho Woh Chal Raha Hai,Maidan Main LarkharakarGirnay Say Phailay Akbar Sambhalo Us Ko JakarAey Mairay Shahzaday Jaldi Qadam Barhao
●Abbas Apnay Dil Say Har Baat Saaf KardoMaa Fatima Kay Sadqay Hur Ko Muaf KardoJakar Alam Kay Us Ko Saye Main Lay Kay Jao
●Beta HasiQaidi Kaisay Kisi Ko DaikhayMairi Taraf Say Kholo Tum Us Kay Hath JakayBaba Khafa Nahi Hai Jakar Usay Batao
●Tum Say Bhi Phailay Marnay Jayega Us Ka BetaJi Bhar Kay Daikh Lai Woh Apnay Pisar Ka ChehraKam Waqt Reh Gaya Hai Jakar Usay Batao
●Ta Hashar yeh Kareema Sab Yad Hi Rakhai GiMehmaan Ka Pasina Khud Saaf Hum KaraingainFizza Hamari Maa Ka Romal Laikay Jao
●Jis Dum Suni Ali Ki Beti Nay Yeh SadayainAnso Baha Kay Usko Dainay Lagi DuaienHur Kay Ghulam Ko Bhi Izzar Say Lai Kay Jao
●Maa Fatima Kay Lab Par Us Kay Liye Dua HaiGurbat Main Us Nay Hum Par Ahsaan Kar Diya HaiHur Kay Ghulam Ko Bhi Izzat Say Lay Kay Jao
●Sajjad Ka Biyaan Ho Kehti Thin Bint e ZehraBhai Ki Jaan Bachaye Ek Aur Habib AyaMaira Salam Fizza Pohncha Kay Us Ko Ayo