Noha Khuwan: Meesum Abbas
ROZADARO QAYAMAT KE DIN HAIN IBNE MULJIM NE HAIDER KO MARA ROZA DARO QAYAMAT KE DIN HAINHumse bichra hai mola hamara Roza daro qayamat kay din hai
IBNE MULJIM NE HAIDER KO MARA ROZA DARO QAYAMAT KE DIN HAIN
1) Khaake bewarisi hai saron per Kalay parcham lage hain gharon per Hum se bichra hai maula hamaraROZA DARO QAYAMATH KE DIN HAIN
2) Shab ye uneesween kysi aayi Khoon me dooba Mohammad ka bhai Roraha hai sahar ka sitaraROZA DARO QAYAMATH KE DIN HAIN
3) Ibne muljim sitam kaisa dhaya Qabr me Sayyeda ko rulaya Kaise bachon ka hoga guzaraROZA DARO QAYAMAT KE DIN HAIN
4) Taigh sar pe Ali kay lagi hai Aaj shamme Imamat bujhi hai Dil yateemo ka hai para paraROZADARO QAYAMAT KE DIN HAIN
5) Maa kay marne ka gham kam nahi tha Aik kohe alam aur toota Sog me ghar hai Zehra ka saraROZA DARO QAYAMAT KE DIN HAIN
6) Ghar me Haider kay aaho fughan hai Eid nazdeek gham ka samaa hai Aisa Ramzan na aye dobaraROZA DARO QAYAMAT KE DIN HAIN
7) Umme Kulsoom Zainab se boleen Aaj baba ne aankhen na kholeen Maine shaana hila kar pukaraROZA DARO QAYAMAT KE DIN HAIN
8) Sina kobi ko "Rehan" o "Mesum" Kyun na farsh e aza pe chalain ham Ghamzada chaar su hai nazaraROZADARON QAYAMAT KAY DIN HAIN IBNE MULJIM NE HAIDER KO MARA ROZA DARO QAYAMAT KE DIN HAIN