Is Tarha Se Jeene Ka Hunar Dete Hai Abbas (A.s.)……2Rag Rag Me Wafadariyan Bhar Dete Hai Abbas (A.s.)Is Tarha Se Jeene Ka Hunar Dete Hai Abbas (A.s.)……
Yeh Aaise Sakhi, Aaise Sakhi, Aaise Sakhi Hai…..2Kutch Maange Bina Jholiyan Bhar Dete Hai Abbas (A.s.)
Jo Shahre Wafa Ke Liye Jaate Hai Safar Ko…..2Un Logon Ko Saaman E Safar Dete Hai Abbas (A.s.)
Roze Ki Ziyarat Se Yeh Ehsas Hua Hai…..2Binae Tawanaie Se Bhar Dete Hai Abbas (A.s.)
Jo Kuft Ke Lashkar Se Bhara Hota Hai Aksar…..2Maidan Wahi Lashon Se Bhar Dete Hai Abbas (A.s.)
Jo Shaks Yahan Rota Hai Shabbir (A.s.) Ke Gam Mein…..2Khush Ho Ke Ushe Khuld Mein Ghar Dete Hai Abbas (A.s.)
Jub Koi Bayan Karta Hai Shabbir (A.s.) Ki Midhat…..2Lehje Me Qaiyamat Ka Asar Dete Hai Abbas (A.s.)
Shabbir (A.S) Ka Dushman Ho Mukabil To Zuban Ko…..2Lafzon Ke Tabarraie Tabar Dete Hai Abbas (A.s.)
Sadqe Mein Sakina (S.a.) Ke Kabhi Maang Ke Dekho…..2Kuza Hi Nahi Jholi Bhi Bhar Dete Hai Abbas (A.s.)
Masoom Sakina (S.a.) Ko Jo Pani Na Pila Paaie…..2Woh Hath Juda Jism Se Kardete Hai Abbas (A.s.)
Gazi (A.s.) Ka Qasida Kiya Tahreer To JaanaLafzon Ke Aewaz Daad O Gohar Dete Hai Abbas (A.s.)
Is Tarha Jeene Ka Hunar Dete Hai Abbas (A.s.)Rag Rag Mein Wafadariyan Bhar Dete Hai Abbas (A.s.)