Itni Bhar Jaaie In Aankhon Mein Ziya E Abbas (A.s.).....2Mujh Ko Koi Na Nazar Aaie Siwae Abbas (A.s.)Itni Bhar Jaaie In Aankhon Mein Ziya E Abbas (A.s.)
Mere Alfaz Mein Kyun Hona Rawani Ka Kamal.....2Main Ne Daryaon Se Seekhi Hai Sana E Abbas (A.s.)Itni Bhar Jaaie In Aankhon Mein Ziya E Abbas (A.s.)
Karbala Ek Hi Misre Mein Suna Sakta Hun.....2Azm E Zainab (S.a.), Dil E Shabbir (A.s.) Wafa E Abbas (A.s.)Itni Bhar Jaaie In Aankhon Mein Ziya E Abbas (A.S.)
Mere Ashar Bhala Khuld Mein Maqbool Na Ho.....2Itni Kamzor Nahi Hoti Sana E Abbas (A.s.)Itni Bhar Jaaie In Aankhon Mein Ziya E Abbas (A.sS.)
Mai Ne Is Husn E Shabahat Pe Bahut Gaur Kiya.....2Sochta Hun Ali (A.s.) Likh Du Bajaie Abbas (A.S.)Itni Bhar Jaaie In Aankhon Mein Ziya E Abbas (A.S.)
Aakhri Saans Jo Tauba Ke Liye Hoti Hai.....2Main Ne Woh Saans Bhi Rakh Li Hai Baraie Abbas (A.s.)Itni Bhar Jaaie In Aankhon Mein Ziya E Abbas (A.s.)
Yun Karo Naam E Sakina (S.a.) Zara Lekar DekhoGair Mumkin Hai Ke Bulane Pe Na Aaie Abbas (A.s.)Itni Bhar Jaaie In Aankhon Mein Ziya E Abbas (A.s.)
Zaat Ko Chod Ke Rakh Marzi E Maula (A.s.) Pe NazarHaan Musaddik Yahi Hoti Hai Wila E Abbas (A.s.)
Itni Bhar Jaaie In Aankhon Mein Ziya E Abbas (A.s.).....2