Jab Ali Musa Raza wird e zabaa' rehta HaiDaad deney ko farishta bhi khadaa rehta HaiGar Mera Ghar kahi taameer kiyaa rehta HaiParcham e Maula Raza uspey sajaa rehta Hai
Ghar to Kya ishq e Ali Musa Raza ki qaatirEk azakhana merey dil mey sajaa rehta HaiDil bohat door galaa kaatkey qoo mey dekhoZikr e Maula mey har ek qatra rawaa rehta Hai
Ek Najaf mey darr e tauba Hai Ali ka maujoodDoosra toos ki waadi mey khulaa rehta HaiLaa dawaa koi maraz ho to chaley bhii jaoShehr e Mash'had mey khulaa sehn e shifaa rehta Hai
Kya jalaa paayegi hoto'n ko jahannam ki aagMerey hoto'n pey sadaa zikr e Raza rehta HaiJab kabhi Sher e qudaa lafz ko my dekhta hoonSher khaaleen ka nazro mey samaa rehta Hai
Lekey hum naam e Ali daar pey chad jaatey HaiAur koii naam e Ali se hi jalaa rehta haiJaha geebat ho mazaaq aur chugalkhori hoAisi mehfil mey Mera Maula kahaa rehta Hai ?
Mushkiley "GAAZI" ke darr par nahi aayengey kabhiKyunkey Wo sarr darr e ZEHRA(sa) pey jhukaa rehta Hai-Az Qalam e "GAAZI"