Qasida

Jab Koi Dua or Dawa Kaam Karegi

Qasida khwan: Mir Hasan Mir

Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kaam Karengi.....2Abbas (A.s.) Ke Parcham Ki Hawa Kaam KarengiJab Koi Dua Aur Na Dawa Kaam Karengi

Aksar Yeh Ali (A.s.) Kehte The Gazi (A.s.)Ko Utha Kar.....2Zehra (S.a.) Ki Dua Sub Se Juda Kaam KarengiJab Koi Dua Aur Na Dawa Kaam Karengi

Ab Chand Ka Kya Kaam Raha Ghar Me Ali (A.s.) Ke.....2Mahe Bani Hashim Ki Zia Kaam KarengiJab Koi Dua Aur Na Dawa Kaam Karengi

Khud Denge Shahenshan E Wafa Usko Salami.....2Kutch Is Tarha Fizza Ki Wafa Kaam KarengiJab Koi Dua Aur Na Dawa Kaam Karengi

Shabbir (A.s.) Ke Rauze Se Kafan Leke Chala Hun.....2Ab Meri Hifazat Ka Kaza Kaam KarengiJab Koi Dua Aur Na Dawa Kaam Karengi

Phir Bhi Nahi Utrenga Khadija (S.a.) Tera Karza.....2Din Raat Bhi Gar Khalk E Khuda Kaam KarengiJab Koi Dua Aur Na Dawa Kaam Karengi

Shabbir (A.s.) Ka Sar Hai Yeh Kahin Jhuk Nahi Sakta.....2Naize Ki Ani Par Bhi Ana Kaam KarengiJab Koi Dua Aur Na Dawa Kaam Karengi

Yeh Hazri E Hazrat Abbas (A.s.) Hai Sajjad.....2Kismat Se Ziyada Yeh Giza Kaam KarengiJab Koi Dua Aur Na Dawa Kaam Karengi

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app