Mere Laal Ko Naujawani Me AakeKahan Le Chali Maut Dulha Bana KeBataun Gi Keya Ab Mai Sughra Ko JakeKahan Le Chali Maut Dulha Bana Ke
Nazar Waqt Ne Aisi Ghurbat Me ModiKaleje Me Barchi Sitamgar Ne TodiKoi Aarzu Ma Ki Zinda Na ChodiAjab Phool Zakhmon Ke Tan Pe Khila KeKahan Le Chali Maut Dulha Bana Ke
Jawan Tha Pesar Jama Silne Ke Din TheYe Sehre Ke Phoolon Ke Khilne Din TheKha Maut Tujhse Ye Milne Ke Din TheHina Gore Haton Me Khoo Ki Racha KeKahan Le Chali Maut Dulha Bana Ke
Badi Hi Muradon Se Pala Tha Ma NeDuwaon Ka Taweez Dala Tha Maa NeGya Tha To Sadqa Nikala Tha Maa NeNazar Mere Noore Nazar Ko Laga KeKahan Le Chali Maut Dulha Bana Ke
Taras Kuch To Maqtal Me Akbar Pe KhatiWo Rheta Slamat Mujhe Maut AatiAjal Isse Pehle Mujhe Leke JatiZyeefi Me Madar Ke Dil Ko Dukha KeKahan Le Chali Maut Dulha Bana Ke
Pedar Ka Sahara Tha Ye Mera YousufBhare Ghar Ka Peyara Tha Ye Mera YousufPhuphi Ka Dulara Tha Ye Mera YousufMere Mehlaqa Ko Sabhi Se Chuda KeKahan Le Chali Maut Dulha Bana Ke
Chalugi Ab Me Kiska Bazu Pakad KeBhala Kiski Duniya Basi Hai Ujad KeJiungi Me Akbar Se Kaise Bichad KeMeri Hasrato Ka Janaza Utha KeKahan Le Chali Maut Dulha Bana Ke
Mile Dil Ko Kiya Chain Bechain Maa KeBahate Hai Dil Ka Lahu Nain Ma KeJanaze Pe Akhtar Hai Ye Bain Maa KeBsa Ka Biyaba Me Karbobala KeKahan Le Chali Maut Dulha Bana Ke