Nauha

Karbala Janey Walon

Nauha khwan: Mir Hasan MirShayar: Mir Sajjad

Watch the recitation

Jane Walo Dar-e-Abbas Pe Jab Tum JanaYeh Areeza Mere Maula Ko Suna Kar Aana

Sab Se Pehle Unhein Kehna Meri Janib Se SalamPhir Yeh Kehna Ke Tarapta Hai Watan Mein Woh GhulamKuch Nahi Lana Faqat Izn-e-Ziyarat Lana

Kehna Hashim Ke Qamar Se Yeh Karein Our KaramDekhney Hain Mujhe Rozon Ke Badaltay ParchamIss Baras Mah-e-Azza Mujh Ko Wahin Dikhlana

Kehna Hazrat Se Wasail Ko Kushada Kar DeinMera Iss Saal Zara Rizq Zyada Kar DeinBetiyon Beton Ko Humrah Mujhe Hai Lana

Karbala Paison Se Jate Nahi Mujh Ko Hai KhabarTum Bulatay Ho Tu Mil Jata Hai Khud Zaad-e-SafarLikha Ho Aana Tu Lagta Nahi Ik Bhi Aana

Chotay Hazrat Se Yeh Kehna Ke Hai Ashor QareebYeh Bhi Kehna Ke Kya Iss Saal Bhi Tarpay Ga GhareebKhon Ka Dena Hai Waan Aa Ke Mujhe Nazrana

Unn Se Kehna Nahi Mangoon Ga Main Asaish-o-ChainNeend Jab Aaye Gi So jaon Ga Bain Al HaramainKafs Ko Takiya Bana Kar Hai Mujhe So Jana

Arbaeen Ki Jo Bananey Lagin Fehrist AaqaNaam Mera Bhi Sakina Ke Tasadduq LikhnaMujh Ko Bhi Karbala Paidal Hai Najaf Se Jana

Main Agar Sham Gaya Pehle Tu Bolon Ga YehiAap Ke Ammo Ne Bhaija Hai Sakina PaniTum Abalfazl Ke Sardab Ka Pani Lana

Kaisay Zindah Rahi Bin Aap Ke Asghar Ki BehanMar Gayi Par Na Khuli Bachi Ki Gardan Se RasanPursa Masoom Sakina Ka Hai Deney Aana

Mir Sajjad Ko Nohay Ka Sila Yeh DenaIss Baras Karbobala Aaye Ga Jab Woh MaulaAap Nazranay Ke Badlay Mein Nazar Aa Jana

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app