Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb HoMir Hasan Mir
● Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho
●Uthay Hain Hath Khudaya Is Dua Kay LiyeNaseeb Ho Safar e Ishq Karbala Kay Liye
●Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb HoPhir Laut Kar Wahan Say Ana Naseeb Ho
●Ankhon Ko Jab Bhi Ashk Bahana Naseeb HoAale Nabi Ke Gham Ka Bahana Naseeb Ho
●Aisa Dar e Hussain Pe Sajda Ho AkhriPhir Mujhko Apna Sar Na Uhana Naseeb Ho
●Parvardigar Thokarein Dar Dar Ki Kab TalakAb Mutakil Najaf Main Thikana Naseeb Ho
●Jaisa Mila Naseeb Se Ummul Baneen koAb Kya Kisi Ko Aisa Gharana Naseeb Ho
●Mehshar Ye Arzoo Hai Ke Be Ghuslo Be KafanKarbobala Ki Teh Me Samaana Naseeb Ho
●Ansoo Gire Thay Bali Sakina Kay Jis JagahApna Wahan Pay Khoon Bahana Naseeb Ho
●Yeh Keh Kay Shah Nikle Mazar e Rasool SyPardes Main Kafn Mujhy Nana Naseeb Ho
●Asghar Hai Mairay Hath Bandhay Kehti ThI RubabKaise Tumhai Galay Say Lagana Naseeb Ho
●Mashkiza Lay Kay Roza e Abbas Kay QareebSab Zairo'n Ko Pani Pilana Naseeb Ho
●Ek Sar Burida Lashe Nay Bachi Ko Di DuaZindan Say Ko Laut Kay Ana Naseeb Ho
●Nazdeek Khaima Gah Sakina Ki Yaad MainSham e Ghareeban Shama Jalana Naseeb Ho
●Sajjad Sham Tak Yahi Karty Rahe DuaChadar Mujhy Phuphi Ko Urana Naseeb Ho
●Aey Kash Phir Say Mir Takallum Furaat ParMehdi Ko Sheh Ka Noha Sunana Naseeb Ho