Saheb e Zulfikar Al Madadadain.....2
Kam Mushkil Hai To Imdada E Khuda KardungaAaj Mai Ishk Ka Tufaan Bapa KardungaKarne Do Mujhe Saki E Kausar (As.) Ki Sana.....2
Raz Allah (S.w.t.) Ki Tawheed Hai Hamraz Ali (A.s.)Kibriaai e Ki Dalilon Ka Hai Aagaz Ali (A.s.)Dil Me Dil Se Jo Nikli Hai Woh Aawaz Ali (A.s.)Aasma Saaz Zameen Saaz Bashar Shaaz Ali (A.s.)Kare Takhllek Ba Taieed E Ahad Karta HaiYeh Woh Banda Hai Jo Khalik Ki Madad Karta Hai
Karne Do Mujhe Saki E Kausar (As.) Ki Sana.....2
Mimbar E Aalaam e Imka Ka Khateeb E AzamBolta Tha To Thahar Jaate The Lamho Ke KadamMera Is Baat Pe Iman Hai Quran Ki KasamLadkhada Ta Na Jo Kamzarf Nusairi Us DamApne Hubbe daron Ko Nabio Se Badha Dete Ali (A.s.)Ek Ek Shaks Ko Salman Banadete Ali (A.s.)
Karne Do Mujhe Saki E Kausar (As.) Ki Sana.....2
Wahi Jibril Bhi Laate The Yeh Eman Hai MeraIs Ravish Par Bhi Zara Sochiea Aai Ahle WilaAage Sidrat Ke Farishta Yeh Nahi Jaa SaktaPhir Yeh Quran Bhala Kiski Badaulat PahuchaLafz Allah (S.w.t.) Maula Mere Ban Jaate TheJo Ali (A.s.) Kehte The Jibril Wahi Late The.
Karne Do Mujhe Saki E Kausar (As.) Ki Sana.....2
Jiski Marzi Hai Mukada, Woh Sikandar Hai Ali (A.s.)Jis Se Sadir Hue Masoom Woh Mazhar Hai Ali (A.s.)Jiska Mehkoom Hai Kauthar Woh Samandar Hai Ali (A.s.)Jo Hai Tauheed Ka Izhar Woh Mazhar Hai Ali (a.s.)Jo Bhi Parda Shabe Meraj Ka Sarka E GaUsko Allah (S.w.t.) Nahi Haidar (A.s.) Hi Nazar Aaienga
Karne Do Mujhe Saki E Kausar (As.) Ki Sana.....2
Aai Azadaron Humein Phir Se Sambhal Na HongaApne Kirdar Se Mahol Badalna HongaTodkar Wakt Ki Zanzeer Nikalna HongaRahe Salman Pe Eman Se Chalna HongaHum Muhibbo Pe Jo Wa Zulm Ka Darwaza HaiYeh Ali (A.s.) Ko Na Samajhne Ka Hi Khamyaza Hai
Karne Do Mujhe Saki E Kausar (As.) Ki Sana.....2
Madh E Haider (A.s.) Me Takallum Yeh Taqaiya KaisaMaslehat Kaisi, Ana Kaisi, Bahana KaisaAur Wakt Ke Sath Aqeade Ko Badalna KaisaMaut Aani Hai To Phir Maut Se Khatra KaisaBand Yeh Ishk Ka Darwaza Nahi Kar SaktaMai Ali (A.s.) Par Koi Samjhauta Nahi Karsakta
Karne Do Mujhe Saki E Kausar (As.) Ki Sana.....2