Nauha

Mera Imam Hussain

Watch the recitation

Sab ko khabar hai sab ko pata haiPhir bhi hai laazim yaad dilanaHo chuka hai faisla Hussain Imam HussainaSab ne yahi keh diya Hussain (a.s.) Imam Hussaina

Aisa zamane mein koi aa nahin saktaKaun hai wo badshah haan mera Imam HussainBol Imam Hussain Imam HussainImam Hussain Imam

Mil kar kaho momino mera hai mera HussainHar qaum ki hai sada apna hai apna Hussain

Paak Muhammad ka nawasa mera MaulaHaider-e-Karrar ka beta mera MaulaKitnon ki dhadkan mein dhadakta mera MaulaKitnon ke ghar ka hai ujala mera Maula

Naaz Ali Murtaza Hussain Imam HussainaJaan o dil Fatima Hussain Imam HussainaShaan Hussain aur koi paa nahin saktaWaaris-e-Sallallahu haan mera Imam Hussain

Karb-o-bala saltanat-e-ishq-e-Khuda haiSayyadon Sadaat ki mehnat ka sila haiJab se qadam Aal-e-Muhammad ne rakha haiKhaak bhi is shehar ki ab khaak-e-shifa hai

Wali Karb-o-bala Hussain (a.s.) Imam HussainaWaaris khaak-e-shifa Hussain (a.s.) Imam HussainaKis ne banaya ise jannat ka nazaraKaun hai wo rehnuma haan mera Imam Hussain

Yaad hai na Karbala Aashoor wo sahraSaamna laakhon se behtar ka hua thaKaam wo Shabeer ne phir kar ke dikhayaEk ne nau laakh ke lashkar ko haraya

Kaam bada kar diya Hussain Imam HussainaMarhaba sad marhaba Hussain Imam HussainaKhaak mein baatil ke iradon ko milayaKaun tha wo soorma haan mera Imam Hussain

Jis tarah Shabeer ne wa'de ko nibhayaRabb ki raza ke liye ghar baar lutayaPyaare fida kar diye kuch bhi na bachayaIshq-e-Khuda kya hai yeh duniya ko bataya

Bol utha sara jahan Hussain Imam HussainaAap sa koi kahan Hussain Imam HussainaItna bada kaam koi kar nahin saktaNaam lo wo kaun tha haan mera Imam Hussain

Aap sa rutba koi paa nahin saktaBan kar Hussain aur koi aa nahin saktaAisi misaal aur koi laa nahin saktaItni bulandi pe koi ja nahin sakta

Ek hai bas ek tha Hussain Imam HussainaEk rahe ga sada Hussain Imam HussainaKoi bhi is baat ko jhuTla nahin saktaKaun hai jo chha gaya Hussain Imam Hussaina

Maula ko sadmon se guzarte hue dekhaBhai ko beton ko bichharte hue dekhaJaan se pyaron ko tadapte hue dekhaSaamne gulshan ko ujarte hue dekha

Waah kaleja tera Hussain Imam HussainaWaah tera hausla Hussain Imam HussainaItne sitam aur koi seh nahin saktaYaad rahe ga sada haan mera Imam HussainHaan mera Imam Hussain

Aaye sar-e-Karb-o-bala jis ko sukoon mila nahinJis ka tu kuch raha nahin jis ka tu kuch bacha nahinLaakhon se jo daba nahin maut se jo dara nahinJis ka wo sar kaat to gaya kaT ke bhi sar jhuka nahin

Haan mera Imam HussainHaan mera Imam Hussain

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app