Qasida

Mere Maula Main Likhun Teri Fazilat Kaise

Qasida khwan: Mir Hasan Mir

Mere Maula (A.s.) Mai Likhun Teri Fazilat Kaise

Bada Mushkil Teri Midhat Ka Safar Lagta Hai.....2Log Keh De Na Nusairi Yahi Dar Lagta Hai

Mere Maula (A.s.) Mai Likhun Teri Fazilat Kaise

Teri Chaukhat Par Sitare Ne Salami Di Hai.....2Tere Bacchon (A.s.) Ki Farishton Ne Gulami Ki HaiKulle Imaan Hai Jibril Ka Ustad Hai TuHad Yeh Hai Bani E Islam Ka Damaad Hai TuYa Ali (A.s.) Tere Tarruf Me Koi Kya BoleTeri Thokar Ka Ishara Ho To Murda Bole

Mere Maula (A.s.) Mai Likhun Teri Fazilat Kaise

Ek Hi Wakt Me Chalis Jagah Par Maujood.....2Har Nafs Tujh Me Jhalak Ta Hai Sifate MaboodChaand Suraj Bhi Samajhte Hai Ishara HtraZindagi Aur Ajal Dono Pa Kabza TeraYa Ali (A.s.) Deen E Payambar Ka Nigeh Baan Hai TuJis Pe Allah (Sw.t.) Ka Dhoka Ho Woh Insan Hai Tu

Putla Adam Ka Banaya Hai Tere Hathon Ne.....2Naksh E Kaunain Tarasha Hai Tere Hathon NeSochta Hun Ke Nusairi Ki Khata Hi Kya HaiJub Ke Allah (S.w.t.) Ka Chehra Bhi Tera Chehra HaiKhud Diya Nahje Balagah Mein Jo Khutba TuneIs Se Lagta Hai Banaie Hai Yeh Dunia Tune.

Jannat Of Kausar O Tasneem O Iram Tere Hai.....2Hai Yeh Hai Ke Dosh E Risalat Pe Kadam Tere HaiIlteja Hai Ke Hasnain (A.s.) Ka Sadka De DeApne Mddahon Ko Midhat Ka Salika De DeJaan Leta Hai Tu Har Dil Ke Irade MaulaZikre Nayab Ko Nayab Banade Maula

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app