Qasida

Merey raqeeb Merey azm ko jilaa deyna

Merey raqeeb Merey azm ko jilaa deynaBa waqt e marg bhi jeeney ka hausla deynaJo karbalaayi Kafan dhoondney me dikkat hoTo meri laash pey FARSH E AZAA udha deyna

Saqeefa waaley ka sheywa hai baddua deynaHusain waaley ka sheywa hai bass Dua deynaYe dars nok e sinaa se Husain Ney hai diyaaKhuda ke Dee'n ki hifaazat mey sarr kataa deyna

Khuda ke baad ye Abbas ko hi aata haiBagair haath ke kashkol ko bharaa deynaWo teyz teyz se Quran ratrahey they magarPadaa hai mehnga unhey uska tarjuma deyna

Khuda ke sajdey se hatkar majhaal kismey hai ?Jahaa'n mey Hyder e karrar ko rulaa deynaMy mushkilo'n mey Ali ko pukaar leta hoonTu teen mey se kisii eak ko bulaa deyna

Agarchey poochey koi hai Husain tera kahaa ?To apney seeney pey tum maarkar Bataa deynaBadey bado'n se duaao'n ka chaahta hai qubool ?Faqat sakina ka Gaazi ko Waasta deyna

Kahaa rabaab Ney asgar se, aye merey betaMisaal e murtuza maidaa'n mey muskuraa deynaYe kehrahey they Mohammad se Aoun, Bhai sunoHamey hai dushman e shabbir ko mitaa deyna

Ujaala karney Bahattar charaag niklengeyHusain, aap faqat ek Diya bujhaa deynaBahaaya my Ney ye aansu Husain ke ghum meyMajhaal kismey hai iska mujhey silaa deyna

Jinaa' mey "GAAZI" ko dekhaa to bol uthey meesamMerey Ali ke tu ash'haar Kuch sunaa deyna-Az Qalam e "GAAZI"

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app