Nauha

Mohammad Humare Badi Shan wale

Nauha khwan: Ali Shanawar

Salle Ala Nabi Ye Naam, Salle Ala Mohammadin -2Sallalaho Alaihi Wassallam.....2

Mohammad Hamare Badi Shaan Waale..... (3)

Woh Nabio Mein Rehmat Laqab Paane Waale.....Mohammad Hamare Badi Shaan Waale.....

Khuda Jis Ke Sine Pe Quran UtareMudassir Kahe Aur Muzammil PukaareWoh Noor -e- Khuda Do Jahan ke Ujaale

Mohammad Hamare Badi Shaan Waale..... (2)

Jab Aaie Zameen Par Mohammad HamareFalak ne Zameen Par Bichaie SitareUthae Sar zameen Ne Arab Se Yeh Naare

Mohammad Hamare Badi Shaan Wale....2

Nawase Jo Roye To Roye MohammadWoh Jab Taq Na Soye Na Soye MohammadDo Aankhe Nabi Ki The Dono Nawase

Mohammad Hamare Badi Shaan Waale..... (2)

Nawasa Mazaare Mohammed Pe AayaKaha Pyaare Nana Yeh Waada Hai MeraHai Islam Ab Karbala Ke Hawaale

Mohammad Hamare Badi Shaan Waale..... (2)

Sada Aaya Qabre Mohammed Se BetaDua Go Hai Nana Ali or ZehraChale Gazi Abbas Parcham Sambhale

Mohammad Hamare Badi Shaan Waale..... (2)

Woh Ashur Ka Din Mohammad Ka QunbaJo Maqtal Mein Deen Ko Lahu De Raha ThaYeh Keh Keh Ke Sino Pe Khaaye Hai Bhaale

Mohammad Hamare Badi Shaan Waale..... (2)

Rehan - o- Ali Jee Azadare SarwarGulamane Haider Gulame PayambarSada Is Sada Se Zamana Mila Le

Mohammad Hamare Badi Shaan Waale..... (2)Sallalaho Alai hi Wa Sallam.....

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app