Qasida

Most Popular

Qasida khwan: Mir Hasan Mir

Ya Imam E Reza (A.S.)…..8Aai Garibul Guraba (A.s.) , Aai Moinaz Zoefa (A.s.) ,Tujh pe Qaunain Fida, Aai Ali Moosa Reza (A.s.),Aai Ali Ali Ali Moosa Reza (A.s.) Jaan,Aai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan…..2

Yeh Jaan Hai Kya….. Dono Jahan Aap Pe QurbanAai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan…..2

Jub Koi Thikana Nahi Milta Hai Jahan MeAajate Hai Woh Aap Ke Daaman E Ama MeHaiwan Ho Chahe Woh Parinde Ho Ya InsanAai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan…..2

Naubat Yahi Kehti Hai Ke Aane Ko Hai NaubatHone Ko Hai Qaiyam Tere Qaiyam (A.t.f.s.) Ki HukumatMashad Me Yehi Sham O Sahar Hota Hai AilanAai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan…..2

Aai Mulk E Sakhawat Ke Shahenshan E SakhawatMaine Tere Darbar Se Maangi Hai VizaratHo Mujhko Ata Midhate Haidar (A.s.) Ka Kalam Dan,Aai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan….2

Kya Shan Hai Wallah Mohammad (S.a.w.w.) Ke Wali KiMasroof Mila Mujhko Woh Midhat Me Ali (A.s.) Ki,Haan Mai Ne Uthaya Tere Rauze Pe Jo QuranAai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan…..2

Sub Ne Jo Khorashan Ke Raste Me Suna HaiTu Ne (A.s.) Tere Baba (A.s.) Ne Tere Jad (A.s.) Ne Kaha HaiHum Sub Ke Sabab Kalma E Tawheed Me Hai JaanAai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan….2

Behlool Ki Maroof Ki (A)buzar Ki Kasam HaiMalik Tujhe Bus Malik E Ashtar Ki Kasam HaiPal Bhar Me Mujhe Banade Salman Ka SalmanAai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan…..2

De Midhat e Ajdad Ka Aaka Mujhe Yu FalJistarha Se Kehlata Hai Shair Tera DebalKehlane Lage Meer Bhi Yun Tera Sana KhwanAai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan…..2

Ya Imam E Raza (A.s.)…..8

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app