Qasida

Quran Aur Ali (A.s.)

Qasida khwan: Mir Hasan Mir

Quran Aur Ali (A.s.)Allah (S.w.t.) Aur Payambar (S.a.w.w.) Ke Madad Gar Hain DonoQuran O Ali (A.S.) Ilm Ka Meyar Hain Dono.

Khud Kehte Hai Kuffar Yeh Dawa Nahi Mera……2

Siffin Ka Lashkar Ho, Ya Ho Ghat Ka Pehra,

Gazi (A.s.) Ke Liye, Ret Ki Dewar Hain Dono,

Quran O Ali (A.S.) Ilm Ka Meyar Hain Dono.

Kaam Aagai Turbat Mein Meri Ulfat E Hasnain (A.s.).....2

Apne Hi Aqide Ke Mile Mujhko Naqirain,

Meri Tarha Maula (A.s.) Ke Azadar Hain Dono,

Quran O Ali (A.S.) Ilm Ka Meyar Hain Dono.

Mare Gai Talwar Jub Marhab (L.a.) O Antar (L.a.).....2

Ashab E Payambar (S.a.w.w.) Se Kaha Maut Ne Haskar,

Do Aaie The Maidan Mein Ab Char Hain Dono,

Quran O Ali (A.S.) Ilm Ka Meyar Hain Dono.

Fitrus Yeh Hi Kehta Hua Udhta Hai Hawa Mein.....2

Kabe Me Dua Manglo Ya Karbobala Mein

Shabbir (A.s.) Shahensha Ke Darbar Hain Dono

Quran O Ali (A.S.) Ilm Ka Meyar Hain Dono.

Kate Kabhi Phoolo Ki Tarha Ho Nahi Sakte.....2

Sote Hai To Sone Do Unhe Pas Nabi (S.a.w.w.) Ke

Woh Fatema Zehra (S.A.) Ke Guneh Gar Hain Dono

Quran O Ali (A.S.) Ilm Ka Meyar Hain Dono.

Ek Sajda E Mabood Se Moh Mod Raha Hai.....2

Ek Halqaie Matam Se Humein Tod Raha Hai

Tum Kutch Bhi Kaho Deen Ke Gaddar Hain Dono

Quran O Ali (A.S.) Ilm Ka Meaar Hain Dono.

Abbas (A.s.) Ke Shagird Ali (A.s.) Ke Hai Nawase.....2

Maut In Se Hai Darti, Yeh Nahi Darte Qaza Se

Zainab (S.a.)Ke Pisar Jafar E Taiyyar (A.s.) Hain Dono

Quran O Ali (A.S.) Ilm Ka Mear Hain Dono.

Allah (S.w.t.) Aur Payambar (S.a.w.w.) Ke Madad Gar Hain Dono

Quran O Ali (A.S.) Ilm Ka Meyar Hain Dono.

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app