Qasida

Shabbir a.s Madine se Gar Hind may Aa jate

Qasida khwan: Farhan Ali Waris

Do jag ke paalan haar kul hind ke autaarShabbir (a.s) Mere Aaqa Shabbir a.s mere maula ,,Hriday may jaga paate Jeevan may sama jaateShabbir (a.s) Madine se gar Hind may Aajate ,,

Kuch kaal Na pad Jaata Sansar may Pani kaDo boond agar Zaalim Asghar a.s ko pila Jaate,Shabbir a.s madine se..

Un Logon ne Maula a.s ko Kaanto pe Chalaya ThaPalkon ko Bichate Hum Jis aur bhi wo Jaate ,,Shabbir a.s madine se..

Ganga ke Kanare par Ghazi a.s ka Alam SajtaIs Hind ki Shohbha ko wo Aake Badha Jaate ,,Shabbir a.s madine se..

Is Desh may Aa jata Sundar sa ParivartanHar dharm ki Jan'ta ko Khud Kalma padha Jaate ,,Shabbir a.s madine se..

Shabbir a.s ko Jan'ta ki Chahat na Agar HotiNa Goud ke Paalon ko matti may Mila Jaate ,,Shabbir a.s madine se..

Shabbir a.s ke Bachon ke Yun Naaz utha-te HumAakash ke Taa'ron ko Charno my Bicha Jaate ,,Shabbir a.s madine se..

Baali na Koi Chinti, Chinti na Koi ChadarRavan ke Pujari Na Khaimo ko Jala Jaate ,,Shabbir a.s madine se gar Hind may Aatey

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app