Nauha

TERA MATAM YA HUSSAIN

Nauha khwan: Tejani Brothers

Tera matam ya hussain, tera matam ya hussain

Mera jeena mera marna ..hai tera matam ya hussain.....

farshay majlis aankh hai num,Humko pyara aapka gham,Ye zameen o aasma'n per,Hota hai shaha ka matam,Soag me hashr talak hai, dooba doh aalam ya hussain....

Tera matam ya hussain...........

Khoob ki hai kya ita'at,Milgai usko shafa'at,Martaba aisa mila hainhurr ne pai hai wo jannat,Kar raha hai quld me wo, aapka matam ya hussain....

kartay hai aag ka matam,Hoga hargiz na kabhi kam,Moujuza shahay Zaman ka,Dekhlo aaj ye paiham,aag banjati hai khud hi, sholo se shabnam ya hussain

humko toofan se kya darr,Mera maalik moula sarwar,Rok paogein kaha tak,Ye Azadari ye lashkar,Jhuk saka na jhuk sakega, ocha hai parcham ya hussain

moula sadiq ka zamana,Apni wo jaan lutana,Aur haatoh ko katana,Ziarat e shaha ko jaana,Roknay per na ruka hai, ishq ka mousam ya hussain.....

girgaya ghoday se ghazi,Ye fizao ne sada di,Thamkar tooti kamar ko,Pohchay abbas ke bhai,sogaya baazu katakar, aapka humdum ya hussain

subhe ashur Qayamat,Moula sarwar ki shahadat,Har qadam per hai musibat,Qalb e Zehra ki wo haalat,rorahi hai Qaak urdha kar, teri maa Jaanam ya hussain

Aasma'n ronay laga hai,Bas yehi aaho buka hai,Dasht ka sara wo manzar,Khoon me doob gaya haipatharo ke seene me bhi, aapka hai gham ya hussain....

Bint e Haider ki tamanna,Bhai ke gham me hai rona,Warna mushkil hoga jeena,Saath Abid ka tadapna,Qaid qanay me bhi hoga, aapka matam ya hussain

Ye mili humko sa'dat,Ibne Haider ki mohabbat,Hai Azadari ibadat,Hai hamari yehi Jannat,Har maraz ki ho shifa tum, zaqm ka marham ya hussain...

Nauha khuwani ka Sharaf hai,Ye Tejani ka hadaf hai,Aur Akbar ki ata me,Karbala shahay Najaf hai,Hum karenge ta Qayamat, aapka matam ya hussain......

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app