Qasida

Ya Ali Kehne Ke Baad

Qasida khwan: Mir Hasan Mir

Mil Gai Mujhko Khudaie Ya Ali (A.s.) Kene Ke BaadHaan Yahi Hota Hai Bhai Ya Ali (A.s.) Kehne Ke Baad

Jaam Ke Kausar Le Liya, Firdaus Me Ghar Le Liya.....2Is Kadr Daulat Kamaie Ya Ali (A.s.) Kehne Ke Baad

Hajiyon Ko Gaziyon Ko Kum Me Sahba E Wila.....2Khud Mohammad (S.a.w.w.) Ne Pilaie Ya Ali (A.s.) Kehne Ke Baad

Maine Pucha Kamyabi Ki Sanad Milti Hai Kab.....2Arsh Se Aawaz Aaie Ya Ali (A.s.) Kehne Ke Baad

Jung To Hoti Mukhalif Se Sare Maidan Magar.....2Aaisi Naubat Hi Na Aaie Ya Ali (A.s.) Kehne Ke Baad

Mai Yahan Zinda Raha To Kya Hui Hairat Ki Baat.....2Kab Kisi Ko Maut Aaie Ya Ali (A.s.) Kehne Ke Baat

Aai Musalman Aa Gale Mil Tu Bhi Momin Ho Gya.....2Kaisa Jhagda Kya Ladaie Ya Ali (A.s.) Kehne Ke Baad

Maut Se Ek Roz Panja Aazmi Ho Gai.....2Tod Ki Maine Kalaie Ya Ali (A.s.) Kehne Ke Baad

Hath Phailaya Nahi Hai Hum Malango Ne Kabhi.....2Apni Kismat Khud Banaie Ya Ali (A.s.) Kehne Ke Baad

Haan Yahi Hota Hai Bhai Ya Ali (A.s.) Kehne Ke Baad

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app