Ya Ali Ya HusseinAllah x3
Allah hee Allah x4Tu hee Tu Allah,Allah Tu hee Tu Allah x2
Jo Mohammad ka wafadar hai, Allah uska,Karbala uski, Najaf uska, Madina uska,Zindagi hai to bus Ali ki tarha,Maut aye to Ya Hussain, Hussain!
Ya hussain x6Ya Ali, Ya Hussain x4
Awaaz e Muhammad ka asar khatam na hoga x2Thak jayega suraj yeh safar khatam na hoga.
Ya Ali, Ya Hussain x3
La raib pay Rasool ki dono hain zebo zenPehlu mein Ya Ali hai, to godi mein Ya HussainGodi mein Ya Hussain!Loho qalam ka ilm ka sadiq hai Ya AliJab tak Khuda ka mulk hai malik hai Ya HussainMalik hai Ya Hussain!Yeh ilm ka dar sabr ka ghar khatam na hoga.
Thak jayega suraj yeh safar khatam na hoga x2
Ye saltanat e ishq hai khuddar milengaySalmano Abuzar say wafaadar milengeWafaadar milenge!Qasim yahan Mesum say jigar taar milengeJinay kay liye marnay pay tayyar milengayTayyar milengay!Kat jaye zaban ishq magar khatam na hoga
Thak jaayega suraj ye safar khatam na hoga x2
Muslim bin e Aqeel safeer e Hussain haiHub e Ali hai dil mein masheer e Hussain haiMasheer e Hussain hai!Woh badshah aur yeh wazeer e Hussain haiAisa wazeer hai kay faqeer e Hussain haiFaqeer e Hussain hai!Ta hashr sifarat ka safar khatam na hoga.
Thak jaayega suraj yeh safar khatam na hogaYa Ali, Ya Hussain x3
Hur ko sakhi Hussain nay aali bana diyaAisa ke panjatan ka sawaali bana diyaSawaali bana diya!Nad e Ali nay isko jalali bana diyaRumal e Fatima nay misali bana diyaMisali bana diya!Yeh dar hai ata’aon ka yeh dar khatam na hoga.
Thak jaayega suraj ye safar khatam na hoga x2
Aie meray Rabb e JahaanAie Muhammad kay KhudaYeh Tera ishq hee thaJis ki parwaaz judaYeh Tera ishq hee tha x2Panjatan say jo milaIshq ka tere e safarIshq Haidar mein milaKabhi Mesum, Kabhi Miqdad o Abuzar main milaKabhi Salman kay dil mein, kabhi Qambar me milaAur maqtal main jo dekha to bahattar mein milaLaike ishq he Tu, Tera jalwa har su x2
Ay mere Rab e jahaanAy Mohammad ke KhudaIshq tunay bhi diyaAur Muhammad TeraJiski chahat kay liyeYeh jahaan khalq kiyaWoh tera ishq hi tha x3
Aie meray Rabb e jahan x2Ik ajab ishq huwaWoh sare karbobalaTera aashiq hai kharaKhoon mein duba huwaDay chuka lakhtay jigarDay chukka noor e nazarDe chukka sara woh gharAur khanjar ke talayUska sajday mein hay sirNa namazi aisi, na ashiq ka kaleja aisaNoke neza pe bhi karta hee raha zikr Tera
Ya Ali, Ya Hussain x3
Eik zulfiqaar khalq main do haath say chaliDast e Hussain o panjae mushkil kusha AliYeh Mustafa ki jaan woh Allah ka waliDono ka martaba bhi do alam pe he jailDono ka is kamaal se sajda ada huwaHaider se ibteda huwi ya khatima huwa
Ya Ali, Ya Hussain x3
Hai waqt e asr marziye parwardigar haiAab pushte zuljana pe maula sawaar haiPehlu mein khun roti huwi zulfiqaar haiHum rah zuljanah bhi bohot dil figaar heQurban zuljanah pe aur zulfiqar parChalte thay dono marziye parwardigar par
Ya Ali, Ya Hussain x3
Jaisi woh zulfiqaar thi waisa tha zuljanahBachpan say saath saath hee rehta tha zuljanahBay misl o bay nazir tha aala tha zuljanahKyun kar na ho Rasool nay pala tha zuljanahPehla sawaar to nabiye kirdigaar haiAur doosra ye doshe nabi ka sawaar hai
Ya Ali, Ya Hussain x3
Jite thi jab bhi sheyr chitwan hiran ki aankhChalta tha dekh dekh ke shahe zaman ki aankhParti thi yun harif pe us sab shikan ki aankhLarzi ho jese halq me shamshir zan ki aankhTeghaayi jispe urh kabhi baar urhte chalgayaWo sar gira gayi to ye lasha uchalgaya
Ya Ali, Ya Hussain x2
Kehta tha zulfiqaar se ab meri jang dekhChal tere saath saath zara mera rang dekhIs kaas mei laraayi ka mera bhi dhang dekhRaah-e-hayaat fitron pe karta hoon tang dekhMana tu zulfiqaar hai marhab shikaar haiLeykin ye dekh kon ye mujhpar sawaar hai
Ya Ali, Ya Hussain x3
Simta jamaa urha idhar aya udhar gayaChamka phira Jamaal dikhaya tha har gayaTeeron pe urh ke barchiyon mei bekhatar gayaBar haq kiya sabon ko saron par guzar gayaAya jo zad mei iski ajal aagayi usseIs saath koi zarb zameen kha gayi usse
Ya Ali, Ya Hussain x3
Allah re laraayi mei shokat hussain kiHeete wo zuljanah mei sur’at hussain kiQudrat baghor zad ki thi surat Hussain kiChehre udaas Sakina hai haybat Hussain ki(Bole Ali Hussain) x2 ho ab bhi hawaas meiAisi to jang ham na lare mulk-o-yaas mei
Hussain Ya Hussain x3
Ayi sada-e-ghayb ke bas bas Hussain basDam le hawaa mei eik nafas bas Hussain basGarmi se haanfta hai faras bas Hussain basWaqt-e-namaaz asr hai bas bas Hussain bas
Hussain Ya Hussain x3
Ye sunte the hazrat jo laga pusht pe dharaQarboos pe tharra ke gire hazrat-e-waalaJibreel ne qadmon se rikaabat ko nikalaAur haathon ko garden mei yadullah ne daalaDekha jo zuljanah ne ghash khate zeen parBas beyth gaya dekh ke ghutnon ko zameen parQuran rehl-e-zeen se sar-e-farsh gir paraDewaar-e-kaba beyth gayi arsh gir para
Hussain Ya Hussain x3
Chillayi fatemah mera bacha hai be gunaahAy arz-e-nainawah mera bacha hai be gunaahAy nehr-e-alqamah mera bacha hai be gunaahAy zulfiqaar tu hi bachaale hussain koAy zuljanah tujhse mei luti hussain ko
Hussain Ya Hussain x3
Duba lahu mei lot ke aaya hai zuljanaahSamjhi Sakina baba ko laaya hai zuljanahSar khaak per patak kar gira wo rahwaarSayyedaniyon bichar gaya mujhse mera sawaarJaldi utaarlo ye tabarruk ye zulfiqaarAre kat’ta hai waa gulu-e-shahenshaah-e-naamdaarZahra qareeb-e-laash-e-pisar khaak urhaati haiAre khaymon mei jaawo, lutne ko foj aati hai
Hussain Ya Hussain