Ye dushman e zehra pey tabarrey ka silaa haiJannat jo azadar ke khadmo'n padaa haiMakhsoos riwaayat hai ye Islam mey dekhoMan kunto rasool e Arabi kisko kahaa hai
Asgar ki hasii dekhkey kehney lagey sab GulYe kaunsa hai phool Jo sehra mey khilaa haiMaa kehti thi marhab ki tu Hyder se na ladnaaYe naam hi dunya ke shujaa'at mey badaa hai
Haibat se hi qudd margaye dushman sarr e maidaa'nAbbas to Aaraam se saahil pey khadaa haiAbbas ko khanjar ki zaroorat hi nahi haiNazrey hi dilaawar ki layeeno'n ki qazaa hai
Parcham se bandhaa aaj bhi hai mashk e sakinaAmmu se bahteeji na judaa thi na judaa haiJitney bhi hai beemaar chaley aaye merey paasTum sabki dawaa merey yahaa qaak e shifaa hai
Kuch aur hi padhney ka mazaa badhney lagii haiQuran ki naizey pey bayaa'n jabsey sunaa haiBhooley se bhi bhoolo nahi tum Jung e ohad koLadtaa rahaa bass eak har ek bhaag rahaa hai
Mat samjho hamey aam musalmaan aye mullaHum khaum nahi fatema zehra ki dua haiDarbaar mey Zainab terey qutbey ki adaayePehlu mey imaamat bhi khadaa dekh rahaa hai
Baksheygi nahi saaniye zehra unhey hargizJo bhi shah e mazloom ki majlis mey hasaa haiTu apney namaazo'n pey na itraa kabhi waayizSajda'h tera shabbir ke saqdey mey bachaa hai
Kuch log ki aamaal pey poochengey farishteySajdey hai na majlis hai na maatam hai, ye Kya haiAuro'n ke liye arsh pey hoga kahi jannat"GAAZI" ke liye khuld to bass karbobala hai
-Az Qalam e "GAAZI"