Nauha

Ye Wo Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila

Nauha khwan: Mir Hasan Mir

Hai Asgar ..........(6)Asgar Ko Like Godh Mein Kehti Hai Karbala .....Yeh Woh Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(3)

Cheh Mah Ke Garib, Musafir Ko Soup Ke.....Kehhne Lage Hussain (As) Yeh, Kabre Sagreer Se ....Rakhna Zara Khayal Mera Tashnadahan Ka.....Yeh Who Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(2)

Madar Yeh Bain Karti Thi Dil Me Hai Yeh Kasak.....Sugra Tumhari Godh Se Aagosh E Kabr Tak.....Asgar Ko Maut Ne Kahin Rukne Nahi Diya....Yeh Who Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(2)

Maa Soch Ti Thi Dhalta Hai Din Ho Rahi Hai Sham.....Jhule Me Laut Aaienga Shayad Who Tashnadahan.....Lekin Gazab Hua ke Woh Jhula Bhi Jal Gaya.....Yeh Who Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(2)

Galion Me Shehr E Kufa Ke Bazaar E Sham Me.....Shiri Ke Ghar Kabhi, Kabhi Darbar e Sham Me....Marne Ke Baad Bhi Abhi Asgar Safar Me Tha....Yeh Who Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(2)

Nanhe Se Sar Ko Naaz Se Bus Takte Rahte The....Phir Khoon Ro Ke Sayyad E Sajjad (As) Kehte The....Main Who Ali Hun Jiska, Bhara Ghar Ujad Gaya.....Yeh Who Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(2)

Aane Laga Watan Jo, Garibon Ka KarwanMud Mud Ke Kehti Jaati Thi Ek Khali Godh MaRakhio Sambhal Kar Ise Aai Arze NainawaYeh Woh Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(2)

Dar Hai Yeh Phir se koi Sina Par Utha Na Le....Lipta Hua Hai Abbhi Seene Se Baap Ke.....Ro Ro Ke Keh Rahi Hai Takallum Yeh Karbal....Yeh Who Ali Hai Jisko Kabhi Ghar Nahi Mila .....(2)

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app