Qasida

Zehra ke Hath me

Qasida khwan: Mir Hasan Mir

Sayeda (S.a.), Tahera (S.a.)......6

Kul Nazm E Qaiyanat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath Me.....2Sher E Khuda (A.s.) Ka Hath Hai Zehra (S.a.) Ke Hath MeKul Nazm E Qaiyanat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath Me.....2

Allah (S.w.t.) Ne Mangali Sare Arsh Rotiyan.....2Koi To Aaisi Baat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath MeKul Nazm E Qaiyanat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath Me.....2

Ji Dar Se Chal Raha Hai Zamane Ka Har Nizam.....2Us Ki Maashiat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath MeKul Nazm E Qaiyanat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath Me.....2

Beti Ko Sath Laaie Hai Is Waste Rasool (S.a.w.w.).....2Najraniyon Ki Maat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath MeKul Nazm E Qaiyanat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath Me.....2

Malik Hai Jaise Chahe Yeh Tabdiliyan Kare.....2Lau Ho Kalam Dawat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath MeKul Nazm E Qaiyanat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath Me.....2

Kehne Lage Hussain (A.s.) Yeh Rumal Band Kar.....2Jaa Hur Teri Najat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath MeKul Nazm E Qaiyanat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath Me.....2

Hathon Me Hath Shabbar (A.a.) O Shabbir (A.s.) Ke Nahi.....2Islam Ki Haiyat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath MeKul Nazm E Qaiyanat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath Me.....2

Kaise Mitaie Koi Aza Ki Nishaniyan .....2Hifz E Tabarrukat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath MeKul Nazm E Qaiyanat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath Me.....2

Tasbihe Fatema (S.a.) Ne Takallum Ne Bata DiyaHar Rad E Mushkilat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath MeKul Nazm E Qaiyanat Hai Zehra (S.a.) Ke Hath Me.....2

Sayeda (S.a.) Tahera (S.a.).....2

Recite this kalaam in BAYAAZ

Distraction-free reading, offline access, and synced majlis sessions where everyone follows the same line.

Get the app